Sher of Shibli Nomani
aap jaate to haiñ us bazm meñ 'shiblī' lekin
hāl-e-dil dekhiye iz.hār na hone paa.e
shiblii you do go to her gathering today
make sure your heart's condition is kept hidden away
aap jate to hain us bazm mein 'shibli' lekin
haal-e-dil dekhiye izhaar na hone pae
shiblii you do go to her gathering today
make sure your heart's condition is kept hidden away
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
maiñ rūh-e-ālam-e-imkāñ meñ sharh-e-azmat-e-yazdāñ
azal hai merī bedārī abad ḳhvāb-e-girāñ merā
main ruh-e-alam-e-imkan mein sharh-e-azmat-e-yazdan
azal hai meri bedari abad KHwab-e-giran mera
ajab kyā hai jo nau-ḳhezoñ ne sab se pahle jāneñ diiñ
ki ye bachche haiñ in ko jald so jaane kī aadat hai
ajab kya hai jo nau-KHezon ne sab se pahle jaanen din
ki ye bachche hain in ko jald so jaane ki aadat hai
jam.a kar lījiye ġhairoñ ko magar ḳhūbī-e-bazm
bas vahīñ tak hai ki bāzār na hone paa.e
jama kar lijiye ghairon ko magar KHubi-e-bazm
bas wahin tak hai ki bazar na hone pae
farāz-e-dār pe bhī maiñ ne tere giit gaa.e haiñ
batā ai zindagī tū legī kab tak imtihāñ merā
faraaz-e-dar pe bhi main ne tere git gae hain
bata ai zindagi tu legi kab tak imtihan mera
tasḳhīr-e-chaman par nāzāñ haiñ taz.īn-e-chaman to kar na sake
tasnīf fasāna karte haiñ kyuuñ aap mujhe bahlāne ko
tasKHir-e-chaman par nazan hain tazin-e-chaman to kar na sake
tasnif fasana karte hain kyun aap mujhe bahlane ko
ye nazm-e-ā.īñ ye tarz-e-bandish suḳhanvarī hai fusūñ-garī hai
ki reḳhta meñ bhī tere 'shiblī' maza hai tarz-e-'alī-hazīñ' kā
ye nazm-e-ain ye tarz-e-bandish suKHanwari hai fusun-gari hai
ki reKHta mein bhi tere 'shibli' maza hai tarz-e-'ali-hazin' ka
-
Tag : Rekhta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download