Sher of Syed Zamin Abbas Kazmi
jaise maiñ dostoñ se hañs ke gale miltā huuñ
koī ma.amūlī adākār nahīñ kar saktā
jaise main doston se hans ke gale milta hun
koi mamuli adakar nahin kar sakta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pahle bhī jis pe mire sabr kī had ḳhatm huī
tū ne kar dī nā vahī baat dobāra mire dost
pahle bhi jis pe mere sabr ki had KHatm hui
tu ne kar di na wahi baat dobara mere dost
tumhārī baat se itnā bhī dukh nahīñ pahuñchā
magar jo pahuñchā tumhārī vazāhatoñ se mujhe
tumhaari baat se itna bhi dukh nahin pahuncha
magar jo pahuncha tumhaari wazahaton se mujhe
hijr hogā na koī hijr kā nauha hogā
baaz aate haiñ mohabbat se jo hogā hogā
hijr hoga na koi hijr ka nauha hoga
baz aate hain mohabbat se jo hoga hoga
ek do baar to rokūñgā muravvat meñ tujhe
saikaḌoñ baar to isrār nahīñ kar saktā
ek do bar to rokunga murawwat mein tujhe
saikaDon bar to israr nahin kar sakta
maiñ jo kahtā huuñ mujh se duur raho
ye nasīhat hai iltimās nahīñ
main jo kahta hun mujh se dur raho
ye nasihat hai iltimas nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hamārī baat kaaTī jā rahī hai
kisī kā hausla baḌhtā rahā hai
hamari baat kaTi ja rahi hai
kisi ka hausla baDhta raha hai
quvvat-e-fikr bhī dī aise ki ik had meñ raho
ya.anī be-kār samajhdār banā.e ga.e ham
quwwat-e-fikr bhi di aise ki ek had mein raho
yani be-kar samajhdar banae gae hum
baaġh meñ ek bhī phuul ek bhī phal ke hote
tū mujhe ziist se bezār nahīñ kar saktā
bagh mein ek bhi phul ek bhi phal ke hote
tu mujhe zist se bezar nahin kar sakta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
savāl-e-vasl pe ik baar aur ġhaur kareñ
bajā ki soch liyā hai durust hai phir bhī
sawal-e-wasl pe ek bar aur ghaur karen
baja ki soch liya hai durust hai phir bhi
vo kah rahā thā burā.ī burā.ī jantī hai
so us ke vāste le kar kañval gayā huuñ maiñ
wo kah raha tha burai burai janti hai
so us ke waste le kar kanwal gaya hun main