Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Tahir Azeem's Photo'

Tahir Azeem

1978 | Bahrain

Sher of Tahir Azeem

2.4K
Favorite

SORT BY

jo tire intizār meñ guzre

bas vahī intizār ke din the

jo tere intizar mein guzre

bas wahi intizar ke din the

shahr is bhiiḌ meñ chal to rahā huuñ

zehn meñ par gaañv naqsha rakhā hai

shahr ki is bhiD mein chal to raha hun

zehn mein par ganw ka naqsha rakha hai

ye jo maazī baat karte haiñ

sochte hoñge haal se aage

ye jo mazi ki baat karte hain

sochte honge haal se aage

mujh ko bhī haq hai zindagānī

maiñ bhī kirdār huuñ kahānī

mujh ko bhi haq hai zindagani ka

main bhi kirdar hun kahani ka

maiñ tire hijr meñ jo zinda huuñ

sochtā huuñ visāl se aage

main tere hijr mein jo zinda hun

sochta hun visal se aage

soch apnī zaat tak mahdūd hai

zehn kyā ye tabāhī kuchh nahīñ

soch apni zat tak mahdud hai

zehn ki kya ye tabahi kuchh nahin

barsoñ pahle jis dariyā meñ utrā thā

ab tak us gahrā.ī hai āñkhoñ meñ

barson pahle jis dariya mein utra tha

ab tak us ki gahrai hai aankhon mein

maiñ tire hijr giraft meñ huuñ

ek sahrā hai mubtalā mujh meñ

main tere hijr ki giraft mein hun

ek sahra hai mubtala mujh mein

tāsīr nahīñ rahtī alfāz bandish meñ

maiñ sach jo nahīñ kahtā lahje asar jaatā

tasir nahin rahti alfaz ki bandish mein

main sach jo nahin kahta lahje ka asar jata

jo bahut be-qarār rakhte the

haañ vahī to qarār ke din the

jo bahut be-qarar rakhte the

han wahi to qarar ke din the

rahtā hai zehn o dil meñ jo ehsās tarah

us koī patā bhī zarūrī nahīñ ki ho

rahta hai zehn o dil mein jo ehsas ki tarah

us ka koi pata bhi zaruri nahin ki ho

in bātoñ par mat jaanā jo aam huiiñ

dekho kitnī sachchā.ī hai āñkhoñ meñ

in baaton par mat jaana jo aam huin

dekho kitni sachchai hai aankhon mein

tum hamāre ḳhuun qīmat na pūchho

is meñ apne zarf arsa rakhā hai

tum hamare KHun ki qimat na puchho

is mein apne zarf ka arsa rakha hai

tīrgī kyā ajab tarkīb hai ye

ab havā ke dosh par diivā rakhā hai

tirgi ki kya ajab tarkib hai ye

ab hawa ke dosh par diwa rakha hai

Recitation

Speak Now