Sher of Tanveer Sipra
ai raat mujhe maañ kī tarah god meñ le le
din bhar kī mashaqqat se badan TuuT rahā hai
ai raat mujhe man ki tarah god mein le le
din bhar ki mashaqqat se badan TuT raha hai
aurat ko samajhtā thā jo mardoñ kā khilaunā
us shaḳhs ko dāmād bhī vaisā hī milā hai
aurat ko samajhta tha jo mardon ka khilauna
us shaKHs ko damad bhi waisa hi mila hai
-
Tag : Aurat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shāyad yūñhī simaT sakeñ ghar kī zarūrateñ
'tanvīr' maañ ke haath meñ apnī kamā.ī de
shayad yunhi simaT saken ghar ki zaruraten
'tanwir' man ke hath mein apni kamai de
mill mālik ke kutte bhī charbīle haiñ
lekin mazdūroñ ke chehre piile haiñ
mill malik ke kutte bhi charbile hain
lekin mazduron ke chehre pile hain
jo kar rahā hai dūsroñ ke zehn kā ilaaj
vo shaḳhs ḳhud bahut baḌā zehnī marīz hai
jo kar raha hai dusron ke zehn ka ilaj
wo shaKHs KHud bahut baDa zehni mariz hai
ab tak mire a.asāb pe mehnat hai musallat
ab tak mire kānoñ meñ mashīnoñ kī sadā hai
ab tak mere aasab pe mehnat hai musallat
ab tak mere kanon mein mashinon ki sada hai
-
Tag : Mazdoor
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ apne bachpane meñ chhū na paayā jin khilaunoñ ko
unhī ke vāste ab merā beTā bhī machaltā hai
main apne bachpane mein chhu na paya jin khilaunon ko
unhi ke waste ab mera beTa bhi machalta hai
dihāt ke vajūd ko qasba nigal gayā
qasbe kā jism shahr kī buniyād khā ga.ī
dihat ke wajud ko qasba nigal gaya
qasbe ka jism shahr ki buniyaad kha gai
ham hizb-e-iḳhtilāf meñ bhī mohtaram hue
vo eqtidār meñ haiñ magar be-viqār haiñ
hum hizb-e-iKHtilaf mein bhi mohtaram hue
wo eqtidar mein hain magar be-wiqar hain
kabhī apne vasā.el se na baḌh kar ḳhvāhisheñ paalo
vo paudā TuuT jaatā hai jo lā-mahdūd phaltā hai
kabhi apne wasael se na baDh kar KHwahishen palo
wo pauda TuT jata hai jo la-mahdud phalta hai
aaj bhī 'siprā' us kī ḳhushbū mill mālik le jaatā hai
maiñ lohe kī naaf se paidā jo kastūrī kartā huuñ
aaj bhi 'sipra' us ki KHushbu mill malik le jata hai
main lohe ki naf se paida jo kasturi karta hun
terī to aan baḌh ga.ī mujh ko navāz kar
lekin mirā vaqār ye imdād khā ga.ī
teri to aan baDh gai mujh ko nawaz kar
lekin mera waqar ye imdad kha gai
aaj itnā jalāo ki pighal jaa.e mirā jism
shāyad isī sūrat hī sukūñ paa.e mirā jism
aaj itna jalao ki pighal jae mera jism
shayad isi surat hi sukun pae mera jism
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kitnā buad hai mere fan aur peshe ke mābain
bāhar dānish-var huuñ lekin mill meñ oil-man
kitna buad hai mere fan aur peshe ke mabain
bahar danish-war hun lekin mill mein oil-man
sab kī nigāh meñ tire godām aa ga.e
ab apne hāthoñ maal kī taqsīm kar na kar
sab ki nigah mein tere godam aa gae
ab apne hathon mal ki taqsim kar na kar
'tanvīr' ab tū halq se bhoñpū kā kaam le
bahre hue haiñ kaan mashīnoñ ke shor se
'tanwir' ab tu halq se bhonpu ka kaam le
bahre hue hain kan mashinon ke shor se