Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Wasif Dehlvi

1910 - 1987 | Delhi, India

Sher of Wasif Dehlvi

1.3K
Favorite

SORT BY

bujhte hue charāġh farozāñ kareñge ham

tum aaoge to jashn-e-charāġhāñ kareñge ham

bujhte hue charagh farozan karenge hum

tum aaoge to jashn-e-charaghan karenge hum

kitnī ghaTā.eñ aa.iiñ baras kar guzar ga.iiñ

shola hamāre dil bujhāyā na sakā

kitni ghaTaen aain baras kar guzar gain

shola hamare dil ka bujhaya na ja saka

dīdār se pahle kyā haal huā dil

kyā hogā jo ulTeñge vo ruḳh se naqāb āḳhir

didar se pahle hi kya haal hua dil ka

kya hoga jo ulTenge wo ruKH se naqab aaKHir

halkī ḳhalish dil meñ nigāhoñ meñ udāsī

shāyad yūñhī hotī hai mohabbat shurūāt

halki si KHalish dil mein nigahon mein udasi

shayad yunhi hoti hai mohabbat ki shuruat

aaj ruḳhsat ho gayā duniyā se ik bīmār-e-ġham

dard aisā dil meñ uTThā jaan le kar gayā

aaj ruKHsat ho gaya duniya se ek bimar-e-gham

dard aisa dil mein uTTha jaan le kar hi gaya

vafūr-e-be-ḳhudī meñ rakh diyā sar un ke qadmoñ par

vo kahte rahe 'vāsif' ye mahfil hai ye mahfil hai

wafur-e-be-KHudi mein rakh diya sar un ke qadmon par

wo kahte hi rahe 'wasif' ye mahfil hai ye mahfil hai

dāman ke daaġh ashk-e-nadāmat ne dho diye

lekin ye dil daaġh miTāyā na sakā

daman ke dagh ashk-e-nadamat ne dho diye

lekin ye dil ka dagh miTaya na ja saka

ḳhudā ke sāmne jo sar yaqīñ ke saath jhuk jaa.e

kisī tāqat ke aage phir kabhī vo ḳham nahīñ hotā

KHuda ke samne jo sar yaqin ke sath jhuk jae

kisi taqat ke aage phir kabhi wo KHam nahin hota

bharam us ai mansūr ne rakh liyā hotā

kisī raaz ai nādāñ sar-e-mahfil nahīñ kahte

bharam us ka hi ai mansur tu ne rakh liya hota

kisi ka raaz ai nadan sar-e-mahfil nahin kahte

zuleḳhā ke vaqār-e-ishq ko sahrā se kyā nisbat

jo ḳhud khīñch kar na aa jaa.e use manzil nahīñ kahte

zuleKHa ke waqar-e-ishq ko sahra se kya nisbat

jo KHud khinch kar na aa jae use manzil nahin kahte

jo rañg-e-ishq se fāriġh ho us ko dil nahīñ kahte

jo maujoñ se na Takrā.e use sāhil nahīñ kahte

jo rang-e-ishq se farigh ho us ko dil nahin kahte

jo maujon se na Takrae use sahil nahin kahte

qadam yuuñ be-ḳhatar ho kar na mai-ḳhāne meñ rakh denā

bahut mushkil hai jaan o dil ko nazrāne meñ rakh denā

qadam yun be-KHatar ho kar na mai-KHane mein rakh dena

bahut mushkil hai jaan o dil ko nazrane mein rakh dena

qismat tīrgī kahānī na pūchhiye

sub.h-e-vatan bhī shām-e-ġharībāñ hai aaj kal

qismat ki tirgi ki kahani na puchhiye

subh-e-watan bhi sham-e-ghariban hai aaj kal

paañv zaḳhmī hue aur duur hai manzil 'vāsif'

ḳhūn-e-aslāf azmat ko jagā luuñ to chalūñ

panw zaKHmi hue aur dur hai manzil 'wasif'

KHun-e-aslaf ki azmat ko jaga lun to chalun

kisī ko yaad kar ke ek din ḳhalvat meñ royā thā

nahīñ mālūm kyuuñ jab se nadāmat baḌhtī jaatī hai

kisi ko yaad kar ke ek din KHalwat mein roya tha

nahin malum kyun jab se nadamat baDhti jati hai

kyā ġham jo hasratoñ ke diye bujh ga.e tamām

dāġhoñ se aaj ghar meñ charāġhāñ kareñge ham

kya gham jo hasraton ke diye bujh gae tamam

daghon se aaj ghar mein charaghan karenge hum

vo jin lau se hazāroñ charāġh jalte the

charāġh bād-e-fanā ne bujhā.e haiñ kyā kyā

wo jin ki lau se hazaron charagh jalte the

charagh baad-e-fana ne bujhae hain kya kya

ye mahfil aaj nā-ahloñ se jo māmūr hai 'vāsif'

usī mahfil meñ koī jauhar-e-qābil bhī aa.egā

ye mahfil aaj na-ahlon se jo mamur hai 'wasif'

usi mahfil mein koi jauhar-e-qabil bhi aaega

bahut achchhā huā aañsū na nikle merī āñkhoñ se

bapā mahfil meñ ik taaza qayāmat aur ho jaatī

bahut achchha hua aansu na nikle meri aankhon se

bapa mahfil mein ek taza qayamat aur ho jati

nasīm-e-sub.h yuuñ le kar tirā paiġhām aatī hai

parī jaise koī hāthoñ meñ le kar jaam aatī hai

nasim-e-subh yun le kar tera paigham aati hai

pari jaise koi hathon mein le kar jam aati hai

ye tūfān-e-havādis aur talātum baad o bārāñ ke

mohabbat ke sahāre kashti-e-dil hai ravāñ ab tak

ye tufan-e-hawadis aur talatum baad o baran ke

mohabbat ke sahaare kashti-e-dil hai rawan ab tak

nahīñ mālūm kitne ho chuke haiñ imtihāñ ab tak

magar tere vafādāroñ himmat hai javāñ ab tak

TRANSLATION

Countless trails have taken place till date,

The spirit of thy faithful is buoyant till date.

Sagar Akbarabadi

nahin malum kitne ho chuke hain imtihan ab tak

magar tere wafadaron ki himmat hai jawan ab tak

TRANSLATION

Countless trails have taken place till date,

The spirit of thy faithful is buoyant till date.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now