Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Wazir Ali Saba Lakhnavi

1793 - 1855 | Lucknow, India

TOP 20 SHAYARI of Wazir Ali Saba Lakhnavi

dil meñ ik dard uThā āñkhoñ meñ aañsū bhar aa.e

baiThe baiThe hameñ kyā jāniye kyā yaad aayā

dil mein ek dard uTha aankhon mein aansu bhar aae

baiThe baiThe hamein kya jaaniye kya yaad aaya

baaqī rahe na farq zamīn āsmān meñ

apnā qadam uThā leñ agar darmiyāñ se ham

baqi rahe na farq zamin aasman mein

apna qadam uTha len agar darmiyan se hum

baat bhī aap ke aage na zabāñ se niklī

lījiye aa.e the ham soch ke kyā kyā dil meñ

baat bhi aap ke aage na zaban se nikli

lijiye aae the hum soch ke kya kya dil mein

aap apne zarā jaur-o-sitam ko dekheñ

ham agar arz kareñge to shikāyat hogī

aap hi apne zara jaur-o-sitam ko dekhen

hum agar arz karenge to shikayat hogi

kahte haiñ mere dost mirā haal dekh kar

dushman ko bhī ḳhudā na kare mubtalā-e-ishq

kahte hain mere dost mera haal dekh kar

dushman ko bhi KHuda na kare mubtala-e-ishq

na kareñ aap vafā ham ko kyā

bevafā aap kahlā.iyegā

na karen aap wafa hum ko kya

bewafa aap hi kahlaiyega

aadam se bāġh-e-ḳhuld chhuTā ham se kū-e-yār

vo ibtidā-e-rañj hai ye intihā-e-rañj

aadam se bagh-e-KHuld chhuTa hum se ku-e-yar

wo ibtida-e-ranj hai ye intiha-e-ranj

qaid-e-maz.hab vāqa.ī ik rog hai

aadmī ko chāhiye āzād ho

qaid-e-mazhab waqai ek rog hai

aadmi ko chahiye aazad ho

itnī to dīd-e-ishq tāsīr dekhiye

jis samt dekhiye tirī tasvīr dekhiye

itni to did-e-ishq ki tasir dekhiye

jis samt dekhiye teri taswir dekhiye

kaleja kāñptā hai dekh kar is sard-mehrī ko

tumhāre ghar meñ kyā aa.e ki ham kashmīr meñ aa.e

kaleja kanpta hai dekh kar is sard-mehri ko

tumhaare ghar mein kya aae ki hum kashmir mein aae

mere baġhal meñ rah ke mujhī ko kiyā zalīl

nafrat ho ga.ī dil-e-ḳhāna-ḳharāb se

mere baghal mein rah ke mujhi ko kiya zalil

nafrat si ho gai dil-e-KHana-KHarab se

tirī talāsh meñ mah tarah maiñ phirtā huuñ

kahāñ raat ko ai āftāb rahtā hai

teri talash mein mah ki tarah main phirta hun

kahan tu raat ko ai aaftab rahta hai

ka.aba banā.iye ki kalīsā banā.iye

dil makāñ havāle kiyā hai janāb ke

kaba banaiye ki kalisa banaiye

dil sa makan hawale kiya hai janab ke

huā dhuup meñ bhī na kam husn-e-yār

kanhayyā banā vo jo sañvlā gayā

hua dhup mein bhi na kam husn-e-yar

kanhayya bana wo jo sanwla gaya

roz o shab furqat-e-jānāñ meñ basar ham ne

tujh se kuchh kaam na ai gardish-e-daurāñ niklā

roz o shab furqat-e-jaanan mein basar ki hum ne

tujh se kuchh kaam na ai gardish-e-dauran nikla

sākin-e-dair huuñ ik but huuñ banda ba-ḳhudā

ḳhud vo kāfir haiñ jo kahte haiñ musalmāñ mujh ko

sakin-e-dair hun ek but ka hun banda ba-KHuda

KHud wo kafir hain jo kahte hain musalman mujh ko

ka.abe samt sajda kiyā dil ko chhoḌ kar

to kis taraf thā dhyān hamārā kidhar gayā

kabe ki samt sajda kiya dil ko chhoD kar

to kis taraf tha dhyan hamara kidhar gaya

ulfat-e-kūcha-e-jānāñ ne kiyā ḳhāna-ḳharāb

barhaman dair se ka.abe se musalmāñ niklā

ulfat-e-kucha-e-jaanan ne kiya KHana-KHarab

barhaman dair se kabe se musalman nikla

tumhārī zulf na girdāb-e-nāf tak pahuñchī

huī na chashma-e-haivāñ se faiz-yāb ghaTā

tumhaari zulf na girdab-e-naf tak pahunchi

hui na chashma-e-haiwan se faiz-yab ghaTa

ḳhud-raftagī hai chashm-e-haqīqat jo huī

darvāza khul gayā to maiñ ghar se nikal gayā

KHud-raftagi hai chashm-e-haqiqat jo wa hui

darwaza khul gaya to main ghar se nikal gaya

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now