Sher of Zaki kakorvi
ahl-e-dil ne kiye ta.amīr haqīqat ke sutūñ
ahl-e-duniyā ko rivāyāt pe ronā aayā
ahl-e-dil ne kiye tamir haqiqat ke sutun
ahl-e-duniya ko riwayat pe rona aaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yaad aa.e haiñ uff gunah kyā kyā
haath uThā.e haiñ jab duā ke liye
yaad aae hain uff gunah kya kya
hath uThae hain jab dua ke liye
tū hī batā de kaise kāTūñ
raat aur aisī kaalī raat
tu hi bata de kaise kaTun
raat aur aisi kali raat
husn jis haal meñ nazar aayā
ham ne us haal meñ parastish kī
husn jis haal mein nazar aaya
hum ne us haal mein parastish ki
kitne hī phuul chun liye maiñ ne
kitne hī phuul rah ga.e baaqī
kitne hi phul chun liye main ne
kitne hi phul rah gae baqi
saaf kahiye ki pyaar karte haiñ
ye nigāhoñ kā qaul-e-mub.ham kyā
saf kahiye ki pyar karte hain
ye nigahon ka qaul-e-mubham kya
aql ne tark-e-ta.alluq ko ġhanīmat jaanā
dil ko badle hue hālāt pe ronā aayā
aql ne tark-e-talluq ko ghanimat jaana
dil ko badle hue haalat pe rona aaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
junūñ ke kaif-o-kam se āgahī tujh ko nahīñ nāseh
guzartī hai jo dīvānoñ pe dīvāne samajhte haiñ
junun ke kaif-o-kam se aagahi tujh ko nahin naseh
guzarti hai jo diwanon pe diwane samajhte hain
-
Tag : Aagahi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
log kahte rahe qarīb hai vo
ham ne DhūñDā to duur duur na thā
log kahte rahe qarib hai wo
hum ne DhunDa to dur dur na tha
vo tirī zulf kā saaya ho ki āġhosh tirā
mil gayā ho kabhī ārām mujhe yaad nahīñ
wo teri zulf ka saya ho ki aaghosh tera
mil gaya ho kabhi aaram mujhe yaad nahin
tirī javān umañgoñ ko ho gayā hai kyā
Darī Darī sī mohabbat mujhe pasand nahīñ
teri jawan umangon ko ho gaya hai kya
Dari Dari si mohabbat mujhe pasand nahin
yaad itnā hai ki maiñ hosh gañvā baiThā thā
chhuT gayā haath se kab jaam mujhe yaad nahīñ
yaad itna hai ki main hosh ganwa baiTha tha
chhuT gaya hath se kab jam mujhe yaad nahin
maiñ ne tanhā.iyoñ ke lamhoñ meñ
tum ko akasr qarīb paayā hai
main ne tanhaiyon ke lamhon mein
tum ko akasr qarib paya hai
manzil jise samajhte the yārān-e-qāfila
pahuñche jo us jagah to faqat sañg-e-mīl thā
manzil jise samajhte the yaran-e-qafila
pahunche jo us jagah to faqat sang-e-mil tha
ye raat yūñhī basar ho ga.ī to kyā hogā
tire baġhair sahar ho ga.ī to kyā hogā
ye raat yunhi basar ho gai to kya hoga
tere baghair sahar ho gai to kya hoga
shikva nahīñ duniyā ke sanam-hā-e-girāñ kā
afsos ki kuchh phuul tumhāre bhī mile haiñ
shikwa nahin duniya ke sanam-ha-e-giran ka
afsos ki kuchh phul tumhaare bhi mile hain
dūsroñ ko fareb de de kar
ham ne ḳhud bhī fareb khāyā hai
dusron ko fareb de de kar
hum ne KHud bhi fareb khaya hai
kārvāñ to nikal gayā kosoñ
raah bhaTke hue kahāñ jaa.eñ
karwan to nikal gaya koson
rah bhaTke hue kahan jaen
burī taqdīr ke rone se hāsil
talab ho gar to vīrāne bahut haiñ
buri taqdir ke rone se hasil
talab ho gar to virane bahut hain
mujh ko sukūñ kī chain kī pazhmurdagī se kyā
har roz ek taaza qayāmat kī aarzū
mujh ko sukun ki chain ki pazhmurdagi se kya
har roz ek taza qayamat ki aarzu
rumūz-e-ishq kī gahrā.iyāñ salāmat haiñ
hamāre ḳhvāb-e-pareshāñ kisī ko kyā ma.alūm
rumuz-e-ishq ki gahraiyan salamat hain
hamare KHwab-e-pareshan kisi ko kya malum
marne ke ba.ad koī pashemāñ huā to kyā
mātam-kada jo gor-e-ġharībāñ huā to kyā
marne ke baad koi pasheman hua to kya
matam-kada jo gor-e-ghariban hua to kya
dard-e-dil ne lī na thī karvaT abhī
un ke māthe pe pasīnā aa gayā
dard-e-dil ne li na thi karwaT abhi
un ke mathe pe pasina aa gaya
vaa.e nākāmī-e-qismat ki bhañvar se bach kar
lab-e-sāhil pe jo aa.e to kagārā TuuTā
wae nakaami-e-qismat ki bhanwar se bach kar
lab-e-sahil pe jo aae to kagara TuTa
uljhī thiiñ jin nasīm se kaliyāñ ḳhabar na thī
pahuñchegī bū-e-nāz mire pairahan se duur
uljhi thin jin nasim se kaliyan KHabar na thi
pahunchegi bu-e-naz mere pairahan se dur