Sher of Zeeshan Niyazi
muddatoñ ḳhud se mulāqāt nahīñ hotī hai
raat hotī hai magar raat nahīñ hotī hai
muddaton KHud se mulaqat nahin hoti hai
raat hoti hai magar raat nahin hoti hai
fazā.eñ raqs meñ haiñ aur baras rahī hai sharāb
kisī ne jaam sū-e-asmāñ uchhālā hai
fazaen raqs mein hain aur baras rahi hai sharab
kisi ne jam su-e-asman uchhaala hai
mujh se nārāz bhī nahīñ hai vo
aur us ko manā rahā huuñ maiñ
mujh se naraaz bhi nahin hai wo
aur us ko mana raha hun main
us ne itnā kiyā nazar-andāz
sab kī nazroñ meñ aa ga.e haiñ ham
us ne itna kiya nazar-andaz
sab ki nazron mein aa gae hain hum
ek chehra tirā dekhne ke liye
kitne chehroñ se ham ko guzarnā paḌā
ek chehra tera dekhne ke liye
kitne chehron se hum ko guzarna paDa
pahle ruḳhsat huī chaman se bahār
aur ab ġhairat-e-chaman bhī ga.ī
pahle ruKHsat hui chaman se bahaar
aur ab ghairat-e-chaman bhi gai
sau baar TūTne pe bhī haarā nahīñ huuñ maiñ
miTTī kā ik charāġh huuñ taarā nahīñ huuñ maiñ
sau bar TuTne pe bhi haara nahin hun main
miTTi ka ek charagh hun tara nahin hun main
apne hone kā hai ehsās tire hone se
ġhair mumkin hai mirā tujh se judā ho jaanā
apne hone ka hai ehsas tere hone se
ghair mumkin hai mera tujh se juda ho jaana
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mirā saaya bhī mujh se duur hai aur terī yādeñ bhī
maiñ ab is se ziyāda aur tanhā ho nahīñ saktā
mera saya bhi mujh se dur hai aur teri yaaden bhi
main ab is se ziyaada aur tanha ho nahin sakta
maiñ din ke ujāle meñ tujhe soch rahā huuñ
mahsūs ye hotā hai ki kuchh raushnī kam hai
main din ke ujale mein tujhe soch raha hun
mahsus ye hota hai ki kuchh raushni kam hai
ab bhī raushan haiñ buzurgoñ kī havelī ke charāġh
ham kisī naqsh ko dhuñdlā nahīñ hone dete
ab bhi raushan hain buzurgon ki haweli ke charagh
hum kisi naqsh ko dhundla nahin hone dete
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
duur tak āvāz de aaya huuñ maiñ
dekhnā ye hai ki aatā kaun hai
dur tak aawaz de aaya hun main
dekhna ye hai ki aata kaun hai
ishq kī kaun sī manzil pe junūñ laayā hai
hosh ḳhud aa ke ye kahtā hai mujhe hosh nahīñ
ishq ki kaun si manzil pe junun laya hai
hosh KHud aa ke ye kahta hai mujhe hosh nahin
ehsān ḳhāk-e-sahrā pe majnūñ kā hai bahut
varna falak pe us kā pahuñchnā muhāl thā
ehsan KHak-e-sahra pe majnun ka hai bahut
warna falak pe us ka pahunchna muhaal tha
guloñ kī tarah mahakte haiñ baaġh meñ kāñTe
ajiib rang meñ daur-e-bahār aaya hai
gulon ki tarah mahakte hain bagh mein kanTe
ajib rang mein daur-e-bahaar aaya hai