Jayant Parmar
Ghazal 5
Nazm 10
Sher-o-Shayari 5
bistar pe leTe leTe mirī aañkh lag ga.ī
ye kaun mere kamre kī battī bujhā gayā
bistar pe leTe leTe meri aankh lag gai
ye kaun mere kamre ki batti bujha gaya
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
har ek shāḳh ke hāthoñ meñ phuul mahkeñge
ḳhizāñ kā peḌ bhī kapḌe badalnā chāhtā hai
har ek shaKH ke hathon mein phul mahkenge
KHizan ka peD bhi kapDe badalna chahta hai
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
lams kī vo raushnī bhī bujh ga.ī
jism ke andar añdherā aur hai
lams ki wo raushni bhi bujh gai
jism ke andar andhera aur hai
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
dil ko dukhātī hai phir bhī kyuuñ achchhī lagtī hai
yādoñ kī ye shaam suhānī dil meñ qaid huī
dil ko dukhati hai phir bhi kyun achchhi lagti hai
yaadon ki ye sham suhani dil mein qaid hui
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
jugnū thā taarā thā kyā thā
darvāze par kaun khaḌā thā
jugnu tha tara tha kya tha
darwaze par kaun khaDa tha
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
Doha 6
maañg bharūñ sindūr se sajūñ sola-siñgār
jab tak pahnūñgī nahīñ un bāhoñ kā haar
mang bharun sindur se sajun sola-singar
jab tak pahnungi nahin un bahon ka haar
- Add to favorites
-
Share this
aas bañdhātī hai sadā sukh kī hogī bhor
apne irādoñ ko abhī mat karnā kamzor
aas bandhati hai sada sukh ki hogi bhor
apne iradon ko abhi mat karna kamzor
- Add to favorites
-
Share this
chāhat kī bhāshā nahīñ shabdoñ ko mat tol
ḳhāmoshī kā giit sun chāñd kī khiḌkī khol
chahat ki bhasha nahin shabdon ko mat tol
KHamoshi ka git sun chand ki khiDki khol
- Add to favorites
-
Share this
jaaḌe kī rut hai na.ī tan par niilī shaal
tere saath achchhī lagī sardī ab ke saal
jaDe ki rut hai nai tan par nili shaal
tere sath achchhi lagi sardi ab ke sal
- Add to favorites
-
Share this
laakh chhupā.e na chhupe in rātoñ kā bhed
āñkhoñ ke ākāsh meñ paḌhe the chāroñ ved
lakh chhupae na chhupe in raaton ka bhed
aankhon ke aakash mein paDhe the chaaron wed
- Add to favorites
-
Share this