Sher of Khalid Ebadi
zarā sā dard aur itnī davā.eñ
pasand aa.ī nahīñ chāragarī tak
zara sa dard aur itni dawaen
pasand aai nahin chaaragari tak
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ zaḳhm zaḳhm nahīñ huuñ magar masīhā.ī
mire badan meñ mirī jaan kyuuñ nahīñ rakhtī
main zaKHm zaKHm nahin hun magar masihai
mere badan mein meri jaan kyun nahin rakhti
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zarā Thahro use aane do us kī baat bhī sun leñ
hameñ jo ilm hai go dil ko dahlāne hī vaalā hai
zara Thahro use aane do us ki baat bhi sun len
hamein jo ilm hai go dil ko dahlane hi wala hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hamāre haath kaaTe jā rahe the
tumhāre haath se kirpān le kar
hamare hath kaTe ja rahe the
tumhaare hath se kirpan le kar
shahr kā bhī dastūr vahī jañgal vaalā
khojne vaale hī akasr kho jaate haiñ
shahr ka bhi dastur wahi jangal wala
khojne wale hi akasr kho jate hain
-
Tag : Shahr
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye kaisā tanāza hai ki faisal nahīñ hotā
haq terā ziyāda hai ki hukkām kā tere
ye kaisa tanaza hai ki faisal nahin hota
haq tera ziyaada hai ki hukkaam ka tere
kabhī kabhī chup ho jaane kī ḳhvāhish hotī hai
aaise meñ jab tīr-e-sitam kī bārish hotī hai
kabhi kabhi chup ho jaane ki KHwahish hoti hai
aaise mein jab tir-e-sitam ki barish hoti hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
abhī marne kī jaldī hai 'ibādī'
agar zinda rahe to phir mileñge
abhi marne ki jaldi hai 'ibaadi'
agar zinda rahe to phir milenge
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download