Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Makhmoor Saeedi's Photo'

Makhmoor Saeedi

1938 - 2010 | Delhi, India

Prominent modern poet / was associated with the magazine 'Tahrik'

Prominent modern poet / was associated with the magazine 'Tahrik'

Sher of Makhmoor Saeedi

3.4K
Favorite

SORT BY

ho jaa.e jahāñ shaam vahīñ un baserā

āvāra parindoñ ke Thikāne nahīñ hote

ho jae jahan sham wahin un ka basera

aawara parindon ke Thikane nahin hote

maiñ us ke va.ade ab bhī yaqīn kartā huuñ

hazār baar jise aazmā liyā maiñ ne

To this day her promises I do still believe

who a thousand times has been wont to deceive

main us ke wade ka ab bhi yaqin karta hun

hazar bar jise aazma liya main ne

To this day her promises I do still believe

who a thousand times has been wont to deceive

surḳhiyāñ ḳhuun meñ Duubī haiñ sab aḳhbāroñ

aaj ke din koī aḳhbār na dekhā jaa.e

surKHiyan KHun mein Dubi hain sab aKHbaron ki

aaj ke din koi aKHbar na dekha jae

butoñ ko pūjne vāloñ ko kyuuñ ilzām dete ho

Daro us se ki jis ne un ko is qābil banāyā hai

buton ko pujne walon ko kyun ilzam dete ho

Daro us se ki jis ne un ko is qabil banaya hai

ghar meñ rahā thā kaun ki ruḳhsat kare hameñ

chaukhaT ko alvidā.a kahā aur chal paḌe

ghar mein raha tha kaun ki ruKHsat kare hamein

chaukhaT ko alwidaa kaha aur chal paDe

muddatoñ baad ham kisī se mile

yuuñ lagā jaise zindagī se mile

muddaton baad hum kisi se mile

yun laga jaise zindagi se mile

kuchh yuuñ lagtā hai tire saath guzrā vo bhī

ham ne jo vaqt tire saath guzārā nahīñ

kuchh yun lagta hai tere sath hi guzra wo bhi

hum ne jo waqt tere sath guzara hi nahin

ġham o nashāt har rahguzar meñ tanhā huuñ

mujhe ḳhabar hai maiñ apne safar meñ tanhā huuñ

gham o nashat ki har rahguzar mein tanha hun

mujhe KHabar hai main apne safar mein tanha hun

raḳht-e-safar jo paas hamāre na thā to kyā

shauq-e-safar ko saath liyā aur chal paḌe

raKHt-e-safar jo pas hamare na tha to kya

shauq-e-safar ko sath liya aur chal paDe

ye apne dil lagī ko bujhāne aate haiñ

parā.ī aag meñ jalte nahīñ haiñ parvāne

they come to extinguish the fire in their heart

in senseless immolation the moths do not take part

ye apne dil ki lagi ko bujhane aate hain

parai aag mein jalte nahin hain parwane

they come to extinguish the fire in their heart

in senseless immolation the moths do not take part

maslahat ke hazār parde haiñ

mere chehre pe kitne chehre haiñ

maslahat ke hazar parde hain

mere chehre pe kitne chehre hain

dil pe ik ġham ghaTā chhā.ī huī thī kab se

aaj un se jo mile TuuT ke barsāt huī

dil pe ek gham ki ghaTa chhai hui thi kab se

aaj un se jo mile TuT ke barsat hui

zabāñ pe shukr o shikāyat ke sau fasāne haiñ

magar jo dil pe guzartī hai kyā kahā jaa.e

zaban pe shukr o shikayat ke sau fasane hain

magar jo dil pe guzarti hai kya kaha jae

kitnī dīvāreñ uThī haiñ ek ghar ke darmiyāñ

ghar kahīñ gum ho gayā dīvār-o-dar ke darmiyāñ

kitni diwaren uThi hain ek ghar ke darmiyan

ghar kahin gum ho gaya diwar-o-dar ke darmiyan

un se ummīd-e-mulāqāt ke ba.ad ai 'maḳhmūr'

muddatoñ tak na ḳhud apne se mulāqāt huī

un se ummid-e-mulaqat ke baad ai 'maKHmur'

muddaton tak na KHud apne se mulaqat hui

bujhtī āñkhoñ meñ sulagte hue ehsās lau

ek sho.ala chamaktā pas-e-shabnam dekhā

bujhti aankhon mein sulagte hue ehsas ki lau

ek shoala sa chamakta pas-e-shabnam dekha

rāste shahr ke sab band hue haiñ tum par

ghar se nikaloge to 'maḳhmūr' kidhar jāoge

raste shahr ke sab band hue hain tum par

ghar se nikaloge to 'maKHmur' kidhar jaoge

ab aa ga.e ho to Thahro ḳharāba-e-dil meñ

ye vo jagah hai jahāñ zindagī sañvartī hai

ab aa gae ho to Thahro KHaraba-e-dil mein

ye wo jagah hai jahan zindagi sanwarti hai

jānib-e-kūcha-o-bāzār na dekhā jaa.e

ġhaur se shahr kirdār na dekhā jaa.e

jaanib-e-kucha-o-bazar na dekha jae

ghaur se shahr ka kirdar na dekha jae

bas yūñhī ham-sarī-e-ahl-e-jahāñ mumkin hai

dam-ba-dam apnī bulandī se utartā jā.ūñ

bas yunhi ham-sari-e-ahl-e-jahan mumkin hai

dam-ba-dam apni bulandi se utarta jaun

'maḳhmūr' kaisī raah thī ham jis pe chal paḌe

aa.ī thī jis taraf se usī samt phir ga.ī

'maKHmur' kaisi rah thi hum jis pe chal paDe

aai thi jis taraf se usi samt phir gai

Recitation

Speak Now