SEARCH RESULTS
Showing search results for ",Zbt"
Ghazal MATCHES FOR ",zbt"
Ghazal
zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'faraaz'
zaalim ab ke bhii na ro.egaa to mar jaa.egaa
Ahmad Faraz
Ghazal
kamaal-e-zabt ko KHud bhii to aazmaa.uu.ngii
mai.n apne haath se us kii dulhan sajaa.uu.ngii
Parveen Shakir
Ghazal
mai.n vo charaaG sar-e-rahguzaar-e-duniyaa huu.n
jo apnii zaat kii tanhaa.iyo.n me.n jal jaa.e
Obaidullah Aleem
Ghazal
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
vo mujh se ba.Dh ke zabt kaa aadii thaa jii gayaa
varna har ek saa.ns qayaamat use bhii thii
Mohsin Naqvi
Ghazal
'shahzaad' ye gila hii rahaa us kii zaat se
jaate hu.e vo ko.ii gila kar nahii.n gayaa
Shahzad Ahmad
Ghazal
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
mujh pe chhaa jaa.o kisii aag kii suurat jaanaa.n
aur mirii zaat ko suukhaa hu.aa jangal kar do
Wasi Shah
Ghazal
mai.n aadmii huu.n ko.ii farishta nahii.n huzuur
mai.n aaj apnii zaat se ghabraa ke pii gayaa
Saghar Siddiqui
Ghazal
KHabar hai tujh ko ai zabt-e-mohabbat
tire haatho.n me.n luTtaa jaa rahaa huu.n
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
Qateel Shifai
Ghazal
is qadar zabt kahaa.n hai kabhii aa bhii na sakuu.n
sitam itnaa to na kiije ki uThaa bhii na sakuu.n
Mirza Ghalib
Ghazal
mere zamaan-o-zaat kaa hai ye mu'aamla ki ab
sub.h-e-firaaq bhii nahii.n shaam-e-visaal bhii nahii.n
Jaun Eliya
Ghazal
ham hai.n asiir-e-zabt ijaazat nahii.n hame.n
ro paa rahe hai.n aap badhaa.ii hai ro.iye
Abbas Qamar
Ghazal
zabt kam-baKHt ne yaa.n aa ke galaa gho.nTaa hai
ki use haal sunaa.uu.n to sunaa bhii na sakuu.n