SEARCH RESULTS
Showing search results for "गिला"
Ghazal MATCHES FOR "गिला"
Ghazal
kabhii taqdiir kaa maatam kabhii duniyaa kaa gila
manzil-e-ishq me.n har gaam pe ronaa aayaa
Shakeel Badayuni
Ghazal
Momin Khan Momin
Ghazal
lo aaj ham ne to.D diyaa rishta-e-umiid
lo ab kabhii gila na kare.nge kisii se ham
Sahir Ludhianvi
Ghazal
bulbul ko baaGbaa.n se na sayyaad se gila
qismat me.n qaid likkhii thii fasl-e-bahaar me.n
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
muddato.n baa'd us ne aaj mujh se ko.ii gila kiyaa
mansab-e-dilbarii pe kyaa mujh ko bahaal kar diyaa
Parveen Shakir
Ghazal
Siraj Aurangabadi
Ghazal
kaa.nTe to KHair kaa.nTe hai.n is kaa gila hii kyaa
phuulo.n kii vaardaat se ghabraa ke pii gayaa
Saghar Siddiqui
Ghazal
tere milne kii KHushii me.n ko.ii naGma chhe.Duu.n
yaa tire dard-e-judaa.ii kaa gilaa pesh karuu.n
Sahir Ludhianvi
Ghazal
kyaa raah badalne kaa gila ham-safaro.n se
jis rah se chale tere dar-o-baam hii aa.e
Ada Jafarey
Ghazal
'shahzaad' ye gila hii rahaa us kii zaat se
jaate hu.e vo ko.ii gila kar nahii.n gayaa