SEARCH RESULTS
Showing search results for ".ayzu"
Ghazal MATCHES FOR ".ayzu"
Ghazal
rahii na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhii
to kis umiid pe kahiye ki aarzuu kyaa hai
Mirza Ghalib
Ghazal
tumhaarii yaad me.n jiine kii aarzuu hai abhii
kuchh apnaa haal sambhaaluu.n agar ijaazat ho
Jaun Eliya
Ghazal
chaahe hai phir kisii ko muqaabil me.n aarzuu
surme se tez dashna-e-mizhgaa.n kiye hu.e
Mirza Ghalib
Ghazal
nahii.n nigaah me.n manzil to justujuu hii sahii
nahii.n visaal mayassar to aarzuu hii sahii
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
har ek lahza yahii aarzuu yahii hasrat
jo aag dil me.n hai vo sher me.n bhii Dhal jaa.e
Obaidullah Aleem
Ghazal
Siraj Aurangabadi
Ghazal
aarzuu hii na rahii sub.h-e-vatan kii mujh ko
shaam-e-Gurbat hai ajab vaqt suhaanaa teraa
Dagh Dehlvi
Ghazal
Ahmad Faraz
Ghazal
ye aarzuu thii tujhe gul ke ruu-ba-ruu karte
ham aur bulbul-e-betaab guftuguu karte
Haidar Ali Aatish
Ghazal
mirii aarzuu kii duniyaa dil-e-naa-tavaa.n kii hasrat
jise kho ke shaadmaa.n the use aaj paa ke ro.e
Saifuddin Saif
Ghazal
ashko.n ko aarzuu-e-rihaa.ii hai ro.iye
aa.nkho.n kii ab isii me.n bhalaa.ii hai ro.iye