Sher on Dair-o-Haram
The tussle between temple
and harem and those associated with them are too old. They are acquiring unwelcome proportions now. These have been the subject of concern for the poets and they have picked on the keepers of these institutions to satirise their limited perspective as well as their follies and foibles. Going through these verses, you would realise how liberated is the world of poetry and how so very full of life it has been.
kaise bhūle hue haiñ gabr o musalmāñ donoñ
dair meñ but hai na ka.abe meñ ḳhudā rakkhā hai
kaise bhule hue hain gabr o musalman donon
dair mein but hai na kabe mein KHuda rakkha hai
kabhī to dair-o-haram se tū aa.egā vāpas
maiñ mai-kade meñ tirā intizār kar lūñgā
kabhi to dair-o-haram se tu aaega wapas
main mai-kade mein tera intizar kar lunga
shauq kahtā hai pahuñch jā.ūñ maiñ ab kaabe meñ jald
raah meñ but-ḳhāna paḌtā hai ilāhī kyā karūñ
shauq kahta hai pahunch jaun main ab kabe mein jald
rah mein but-KHana paDta hai ilahi kya karun
-
Tag : Kashmakash
dair o kaaba meñ bhaTakte phir rahe haiñ raat din
DhūñDhne se bhī to bandoñ ko ḳhudā miltā nahīñ
dair o kaba mein bhaTakte phir rahe hain raat din
DhunDhne se bhi to bandon ko KHuda milta nahin
-
Tag : Khuda
ye sābit hai ki mutlaq kā ta.ayyun ho nahīñ saktā
vo sālik hī nahīñ jo chal ke tā-dair-o-haram Thahre
ye sabit hai ki mutlaq ka tayyun ho nahin sakta
wo salik hi nahin jo chal ke ta-dair-o-haram Thahre
maiñ dair o haram ho ke tire kūche meñ pahuñchā
do manziloñ kā pher bas ai yaar paḌā hai
main dair o haram ho ke tere kuche mein pahuncha
do manzilon ka pher bas ai yar paDa hai
ka.aba-o-dair meñ ab DhūñD rahī hai duniyā
jo dil-o-jān meñ bastā thā ḳhudā aur hī thā
kaba-o-dair mein ab DhunD rahi hai duniya
jo dil-o-jaan mein basta tha KHuda aur hi tha
ye kah do hazrat-e-nāseh se gar samjhāne aa.e haiñ
ki ham dair o haram hote hue mai-ḳhāne aa.e haiñ
tell this to the priest if he has come to preach
I first went to the mosque, then did the tavern reach
ye kah do hazrat-e-naseh se gar samjhane aae hain
ki hum dair o haram hote hue mai-KHane aae hain
tell this to the priest if he has come to preach
I first went to the mosque, then did the tavern reach
-
Tag : Maikada
is taraf dair udhar ka.aba kidhar ko jā.ūñ
is do-rāhe meñ kahāñ yaar rahā kartā hai
is taraf dair udhar kaba kidhar ko jaun
is do-rahe mein kahan yar raha karta hai
dair-o-haram ko dekh liyā ḳhaak bhī nahīñ
bas ai talāsh-e-yār na dar-dar phirā mujhe
dair-o-haram ko dekh liya KHak bhi nahin
bas ai talash-e-yar na dar-dar phira mujhe
mai-ḳhāne meñ kyuuñ yād-e-ḳhudā hotī hai aksar
masjid meñ to zikr-e-mai-o-mīnā nahīñ hotā
mai-KHane mein kyun yaad-e-KHuda hoti hai aksar
masjid mein to zikr-e-mai-o-mina nahin hota
nahīñ dair o haram se kaam ham ulfat ke bande haiñ
vahī ka.aba hai apnā aarzū dil kī jahāñ nikle
nahin dair o haram se kaam hum ulfat ke bande hain
wahi kaba hai apna aarzu dil ki jahan nikle
sū-e-ka.aba chalūñ ki jānib-e-dair
is do-rāhe pe dil bhaTaktā hai
su-e-kaba chalun ki jaanib-e-dair
is do-rahe pe dil bhaTakta hai