Sher on Ghamand
False Pride is a negative
human quality. It mars a man and demeans him; makes him selfish and narcissistic and does not allow him to see beyond his own self. In poetry, however, the beloved’s pride is of a different kind and it brings pain and suffering to the lover. Here is small selection on the subject of false pride.
āsmāñ itnī bulandī pe jo itrātā hai
bhuul jaatā hai zamīñ se hī nazar aatā hai
aasman itni bulandi pe jo itraata hai
bhul jata hai zamin se hi nazar aata hai
shohrat kī bulandī bhī pal bhar kā tamāshā hai
jis Daal pe baiThe ho vo TuuT bhī saktī hai
shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamasha hai
jis Dal pe baiThe ho wo TuT bhi sakti hai
-
Tags : Motivationaland 2 more
adā aa.ī jafā aa.ī ġhurūr aayā hijāb aayā
hazāroñ āfateñ le kar hasīnoñ par shabāb aayā
ada aai jafa aai ghurur aaya hijab aaya
hazaron aafaten le kar hasinon par shabab aaya
āsmānoñ meñ uḌā karte haiñ phūle phūle
halke logoñ ke baḌe kaam havā kartī hai
aasmanon mein uDa karte hain phule phule
halke logon ke baDe kaam hawa karti hai
roz dīvār meñ chun detā huuñ maiñ apnī anā
roz vo toḌ ke dīvār nikal aatī hai
roz diwar mein chun deta hun main apni ana
roz wo toD ke diwar nikal aati hai
vo jis ghamanD se bichhḌā gila to is kā hai
ki saarī baat mohabbat meñ rakh-rakhāv kī thī
wo jis ghamanD se bichhDa gila to is ka hai
ki sari baat mohabbat mein rakh-rakhaw ki thi
ye soch ke dānista rahā us se bahut duur
maġhrūr hai dariyā mujhe pyāsā na samajh le
ye soch ke danista raha us se bahut dur
maghrur hai dariya mujhe pyasa na samajh le
-
Tags : Dariyaand 2 more
rangīnī-o-nuz.hat pe na maġhrūr ho bulbul
hai rang bahār-e-chamanistāñ koī din aur
rangini-o-nuzhat pe na maghrur ho bulbul
hai rang bahaar-e-chamanistan koi din aur
-
Tags : Bahaarand 1 more
paḌe haiñ phīke ye chāñd taare bhī is ke aage
kahāñ se laa.ī ho tum ye husn-o-jamāl laḌkī
paDe hain phike ye chand tare bhi is ke aage
kahan se lai ho tum ye husn-o-jamal laDki
-
Tags : Bulandiand 1 more
zo'm kitnā karte ho ik charāġh par apne
aur havā ke chalne meñ der kitnī lagtī hai
zo'm kitna karte ho ek charagh par apne
aur hawa ke chalne mein der kitni lagti hai
-
Tags : Charaghand 1 more
bulandiyoñ par zarā takabbur se duur rahnā
vagarna ye hī banegā vaj.h-e-zavāl laḌkī
bulandiyon par zara takabbur se dur rahna
wagarna ye hi banega wajh-e-zawal laDki
-
Tag : Bulandi
zabt-e-ġham vufūr-e-shauq aur dil-e-nā-subūr-e-ishq
mujh ko to hai ġhurūr-e-ishq aap ko naaz ho na ho
zabt-e-gham wufur-e-shauq aur dil-e-na-subur-e-ishq
mujh ko to hai ghurur-e-ishq aap ko naz ho na ho
-
Tags : Ishqand 1 more
ġhurūr toḌā hai rāvan kā mere angad ne
hilā sake na jo pā ko pachās ho kar bhī
ghurur toDa hai rawan ka mere angad ne
hila sake na jo pa ko pachas ho kar bhi