Sher on Hindustan

kyā pūchhte ho nām-o-nishān-e-musāfirāñ

hindostāñ meñ aa.e haiñ hindostān ke the

kya puchhte ho nam-o-nishan-e-musafiran

hindostan mein aae hain hindostan ke the

Jaun Eliya

sar-zamīn-e-hind par aqvām-e-ālam ke 'firāq'

qāfile baste ga.e hindostāñ bantā gayā

sar-zamin-e-hind par aqwam-e-alam ke 'firaq'

qafile baste gae hindostan banta gaya

Firaq Gorakhpuri

ilāhī ek dil kis kis ko duuñ maiñ

hazāroñ but haiñ yaañ hindostān hai

ilahi ek dil kis kis ko dun main

hazaron but hain yan hindostan hai

Haidar Ali Aatish

jo ye hindostāñ nahīñ hotā

to ye urdu zabāñ nahīñ hotī

jo ye hindostan nahin hota

to ye urdu zaban nahin hoti

Abdul Salam Bengluri

jazbāt bhī hindū hote haiñ chāhat bhī musalmāñ hotī hai

duniyā ishāra thā lekin samjhā na ishārā, dil to hai

jazbaat bhi hindu hote hain chahat bhi musalman hoti hai

duniya ka ishaara tha lekin samjha na ishaara, dil hi to hai

Sahir Ludhianvi

Jashn-e-Rekhta | 2-3-4 December 2022 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate, New Delhi

GET YOUR FREE PASS
Speak Now