Aap be-bahra hai jo motaqid-e-Meer nahii.n
Mir Taqi Mir has been used by a number of poets as a subject in their poetry. All poets who wrote after Mir acknowledged him as a master. While reading these verses you may see how Mir has been a healthy obsession with the poets through ages.
reḳhte ke tumhīñ ustād nahīñ ho 'ġhālib'
kahte haiñ agle zamāne meñ koī 'mīr' bhī thā
reKHte ke tumhin ustad nahin ho 'ghaalib'
kahte hain agle zamane mein koi 'mir' bhi tha
-
Tags : Meer Taqi Meerand 1 more
shāgird haiñ ham 'mīr' se ustād ke 'rāsiḳh'
ustādoñ kā ustād hai ustād hamārā
shagird hain hum 'mir' se ustad ke 'rasiKH'
ustadon ka ustad hai ustad hamara
-
Tags : Meer Taqi Meerand 1 more
'mīr' kā rañg baratnā nahīñ āsāñ ai 'dāġh'
apne dīvāñ se milā dekhiye dīvāñ un kā
'mir' ka rang baratna nahin aasan ai 'dagh'
apne diwan se mila dekhiye diwan un ka
-
Tag : Meer Taqi Meer
sher mere bhī haiñ pur-dard va-lekin 'hasrat'
'mīr' kā sheva-e-guftār kahāñ se lā.ūñ
sher mere bhi hain pur-dard wa-lekin 'hasrat'
'mir' ka shewa-e-guftar kahan se laun
na huā par na huā 'mīr' kā andāz nasīb
'zauq' yāroñ ne bahut zor ġhazal meñ maarā
na hua par na hua 'mir' ka andaz nasib
'zauq' yaron ne bahut zor ghazal mein mara
guzre bahut ustād magar rañg-e-asar meñ
be-misl hai 'hasrat' suḳhan-e-'mīr' abhī tak
guzre bahut ustad magar rang-e-asar mein
be-misl hai 'hasrat' suKHan-e-'mir' abhi tak
'saudā' tū is ġhazal ko ġhazal-dar-ġhazal hī kah
honā hai tujh ko 'mīr' se ustād kī taraf
'sauda' tu is ghazal ko ghazal-dar-ghazal hi kah
hona hai tujh ko 'mir' se ustad ki taraf
'hālī' suḳhan meñ 'sheftā' se mustafīd hai
'ġhālib' kā mo'taqid hai muqallid hai 'mīr' kā
'haali' suKHan mein 'shefta' se mustafid hai
'ghaalib' ka mo'taqid hai muqallid hai 'mir' ka
-
Tags : Meer Taqi Meerand 1 more
ab ḳhudā maġhfirat kare us kī
'mīr' marhūm thā ajab koī
ab KHuda maghfirat kare us ki
'mir' marhum tha ajab koi
sirf zabāñ kī naqqālī se baat na ban pā.egī 'hafīz'
dil par kaarī choT lage to 'mīr' kā lahja aa.e hai
sirf zaban ki naqqali se baat na ban paegi 'hafiz'
dil par kari choT lage to 'mir' ka lahja aae hai
'ġhālib' apnā ye aqīda hai ba-qaul-e-'nāsiḳh'
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mīr' nahīñ
'ghaalib' apna ye aqida hai ba-qaul-e-'nasiKH'
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mir' nahin
go ki tū 'mīr' se huā behtar
'mus.hafī' phir bhī 'mīr' 'mīr' hī hai
go ki tu 'mir' se hua behtar
'mushafi' phir bhi 'mir' 'mir' hi hai
-
Tag : Meer Taqi Meer
shubh 'nāsiḳh' nahīñ kuchh 'mīr' kī ustādī meñ
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mīr' nahīñ
shubh 'nasiKH' nahin kuchh 'mir' ki ustadi mein
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mir' nahin
-
Tag : Meer Taqi Meer
maiñ huuñ kyā chiiz jo us tarz pe jā.ūñ 'akbar'
'nāsiḳh' o 'zauq' bhī jab chal na sake 'mīr' ke saath
main hun kya chiz jo us tarz pe jaun 'akbar'
'nasiKH' o 'zauq' bhi jab chal na sake 'mir' ke sath
mū-e-juz 'mīr' jo the fan ke ustād
yahī ik reḳhta-go ab rahā hai
mu-e-juz 'mir' jo the fan ke ustad
yahi ek reKHta-go ab raha hai