Ahmad Faraz: Abhi kuch aur karishme ghazal ke dekhte hain
The two core elements that Faraz's poetry is comprised of are resistance and tenderness. His poetry creates a picture of a soulful, neoclassic rebel. Fill your imagination with different shades of Faraz's poetry with this collection of his selected couplets.
ab ke ham bichhḌe to shāyad kabhī ḳhvāboñ meñ mileñ
jis tarah sūkhe hue phuul kitāboñ meñ mileñ
should we now be parted, in dreams we might be found
like dried flowers found in books, fragile, fraying browned
ab ke hum bichhDe to shayad kabhi KHwabon mein milen
jis tarah sukhe hue phul kitabon mein milen
should we now be parted, in dreams we might be found
like dried flowers found in books, fragile, fraying browned
-
Tags : Famous shayariand 2 more
kis kis ko batā.eñge judā.ī kā sabab ham
tū mujh se ḳhafā hai to zamāne ke liye aa
kis kis ko bataenge judai ka sabab hum
tu mujh se KHafa hai to zamane ke liye aa
-
Tags : Famous shayariand 5 more
kisī ko ghar se nikalte hī mil ga.ī manzil
koī hamārī tarah umr bhar safar meñ rahā
kisi ko ghar se nikalte hi mil gai manzil
koi hamari tarah umr bhar safar mein raha
-
Tags : Famous shayariand 4 more
agar tumhārī anā hī kā hai savāl to phir
chalo maiñ haath baḌhātā huuñ dostī ke liye
agar tumhaari ana hi ka hai sawal to phir
chalo main hath baDhata hun dosti ke liye
ham ko achchhā nahīñ lagtā koī hamnām tirā
koī tujh sā ho to phir naam bhī tujh sā rakkhe
hum ko achchha nahin lagta koi hamnam tera
koi tujh sa ho to phir nam bhi tujh sa rakkhe
dil bhī pāgal hai ki us shaḳhs se vābasta hai
jo kisī aur kā hone de na apnā rakkhe
dil bhi pagal hai ki us shaKHs se wabasta hai
jo kisi aur ka hone de na apna rakkhe
-
Tag : Dil
chalā thā zikr zamāne kī bevafā.ī kā
so aa gayā hai tumhārā ḳhayāl vaise hī
chala tha zikr zamane ki bewafai ka
so aa gaya hai tumhaara KHayal waise hi
-
Tag : Bewafai
ab tak dil-e-ḳhush-fahm ko tujh se haiñ umīdeñ
ye āḳhirī sham.eñ bhī bujhāne ke liye aa
my heart is optimistic yet, its hopes are still alive
come to snuff it out, let not this final flame survive
ab tak dil-e-KHush-fahm ko tujh se hain umiden
ye aaKHiri shamen bhi bujhane ke liye aa
my heart is optimistic yet, its hopes are still alive
come to snuff it out, let not this final flame survive
-
Tags : Ishqand 3 more
kitnā āsāñ thā tire hijr meñ marnā jānāñ
phir bhī ik umr lagī jaan se jaate jaate
kitna aasan tha tere hijr mein marna jaanan
phir bhi ek umr lagi jaan se jate jate
-
Tag : Hijr
ab tire zikr pe ham baat badal dete haiñ
kitnī raġhbat thī tire naam se pahle pahle
ab tere zikr pe hum baat badal dete hain
kitni raghbat thi tere nam se pahle pahle
tū sāmne hai to phir kyuuñ yaqīñ nahīñ aatā
ye baar baar jo āñkhoñ ko mal ke dekhte haiñ
tu samne hai to phir kyun yaqin nahin aata
ye bar bar jo aankhon ko mal ke dekhte hain
-
Tag : Deedar
kaun tāqoñ pe rahā kaun sar-e-rāhguzar
shahr ke saare charāġhoñ ko havā jāntī hai
kaun taqon pe raha kaun sar-e-rahguzar
shahr ke sare charaghon ko hawa jaanti hai
-
Tags : Charaghand 1 more
maiñ raat TuuT ke royā to chain se soyā
ki dil kā zahr mirī chashm-e-tar se niklā thā
main raat TuT ke roya to chain se soya
ki dil ka zahr meri chashm-e-tar se nikla tha
abhī to jaag rahe haiñ charāġh rāhoñ ke
abhī hai duur sahar thoḌī duur saath chalo
abhi to jag rahe hain charagh rahon ke
abhi hai dur sahar thoDi dur sath chalo
-
Tag : Charagh
dekhā mujhe to tark-e-ta.alluq ke bāvajūd
vo muskurā diyā ye hunar bhī usī kā thā
dekha mujhe to tark-e-talluq ke bawajud
wo muskura diya ye hunar bhi usi ka tha
aaj ham daar pe khīñche ga.e jin bātoñ par
kyā ajab kal vo zamāne ko nisāboñ meñ mileñ
the acts for which today I've been crucified around
if prescribed tomorrow, then why should it astound
aaj hum dar pe khinche gae jin baaton par
kya ajab kal wo zamane ko nisabon mein milen
the acts for which today I've been crucified around
if prescribed tomorrow, then why should it astound
shikva-e-zulmat-e-shab se to kahīñ behtar thā
apne hisse kī koī sham.a jalāte jaate
shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha
apne hisse ki koi shama jalate jate
-
Tag : Aagahi
ab to ye aarzū hai ki vo zaḳhm khā.iye
tā-zindagī ye dil na koī aarzū kare
ab to ye aarzu hai ki wo zaKHm khaiye
ta-zindagi ye dil na koi aarzu kare
ye kaun phir se unhīñ rāstoñ meñ chhoḌ gayā
abhī abhī to azāb-e-safar se niklā thā
ye kaun phir se unhin raston mein chhoD gaya
abhi abhi to azab-e-safar se nikla tha
jaane kis aalam meñ tū bichhḌā ki hai tere baġhair
aaj tak har naqsh fariyādī mirī tahrīr kā
jaane kis aalam mein tu bichhDa ki hai tere baghair
aaj tak har naqsh fariyaadi meri tahrir ka