Best Couplets on Politics
Poetry has never fallen short of commenting at politics and thus guiding the caravan of humankind. It exposes, admonishes, delights and opens new channels of social and political perspectives. We have compiled a collection of Urdu couplets on the ever-new subject of politics.
dushmanī jam kar karo lekin ye gunjā.ish rahe
jab kabhī ham dost ho jaa.eñ to sharminda na hoñ
bear enmity with all your might, but this we should decide
if ever we be friends again, we are not mortified
dushmani jam kar karo lekin ye gunjaish rahe
jab kabhi hum dost ho jaen to sharminda na hon
bear enmity with all your might, but this we should decide
if ever we be friends again, we are not mortified
har aadmī meñ hote haiñ das biis aadmī
jis ko bhī dekhnā ho ka.ī baar dekhnā
har aadmi mein hote hain das bis aadmi
jis ko bhi dekhna ho kai bar dekhna
-
Tags : Aadmiand 4 more
un kā jo farz hai vo ahl-e-siyāsat jāneñ
merā paiġhām mohabbat hai jahāñ tak pahuñche
un ka jo farz hai wo ahl-e-siyasat jaanen
mera paigham mohabbat hai jahan tak pahunche
-
Tags : Famous shayariand 3 more
na.e kirdār aate jā rahe haiñ
magar nāTak purānā chal rahā hai
nae kirdar aate ja rahe hain
magar naTak purana chal raha hai
-
Tag : Politics
dekhoge to har moḌ pe mil jā.eñgī lāsheñ
DhūñDoge to is shahr meñ qātil na milegā
dekhoge to har moD pe mil jaengi lashen
DhunDoge to is shahr mein qatil na milega
kursī hai tumhārā ye janāza to nahīñ hai
kuchh kar nahīñ sakte to utar kyoñ nahīñ jaate
kursi hai tumhaara ye janaza to nahin hai
kuchh kar nahin sakte to utar kyon nahin jate
samajhne hī nahīñ detī siyāsat ham ko sachchā.ī
kabhī chehra nahīñ miltā kabhī darpan nahīñ miltā
samajhne hi nahin deti siyasat hum ko sachchai
kabhi chehra nahin milta kabhi darpan nahin milta
mujh se kyā baat likhānī hai ki ab mere liye
kabhī sone kabhī chāñdī ke qalam aate haiñ
mujh se kya baat likhani hai ki ab mere liye
kabhi sone kabhi chandi ke qalam aate hain
-
Tag : Politics
maslahat-āmez hote haiñ siyāsat ke qadam
tū na samjhegā siyāsat tū abhī nādān hai
maslahat-amez hote hain siyasat ke qadam
tu na samjhega siyasat tu abhi nadan hai
ye sach hai rañg badaltā thā vo har ik lamha
magar vahī to bahut kāmyāb chehrā thā
ye sach hai rang badalta tha wo har ek lamha
magar wahi to bahut kaamyab chehra tha
-
Tag : Politics
maiñ to bholā-bhālā 'vasīm' aur vo fankār siyāsat kā
us ke jab ghaTne kī baarī aa.ī mujh ko joḌ liyā
main to bhola-bhaala 'wasim' aur wo fankar siyasat ka
us ke jab ghaTne ki bari aai mujh ko joD liya
kitne chehre lage haiñ chehroñ par
kyā haqīqat hai aur siyāsat kyā
kitne chehre lage hain chehron par
kya haqiqat hai aur siyasat kya
mulk to mulk gharoñ par bhī hai qabza us kā
ab to ghar bhī nahīñ chalte haiñ siyāsat ke baġhair
mulk to mulk gharon par bhi hai qabza us ka
ab to ghar bhi nahin chalte hain siyasat ke baghair
kal siyāsat meñ bhī mohabbat thī
ab mohabbat meñ bhī siyāsat hai
kal siyasat mein bhi mohabbat thi
ab mohabbat mein bhi siyasat hai
siyāsat ke chehre pe raunaq nahīñ
ye aurat hamesha kī bīmār hai
siyasat ke chehre pe raunaq nahin
ye aurat hamesha ki bimar hai