Best Sorry Shayari
shab jo ham se huā muaaf karo
nahīñ pī thī bahak ga.e hoñge
shab jo hum se hua muaf karo
nahin pi thi bahak gae honge
-
Tags : Maikashiand 1 more
be-ḳhudī meñ le liyā bosa ḳhatā kiije muaaf
ye dil-e-betāb kī saarī ḳhatā thī maiñ na thā
be-KHudi mein le liya bosa KHata kije muaf
ye dil-e-betab ki sari KHata thi main na tha
-
Tags : Bekhudiand 2 more
hai aaj ruḳh havā kā muāfiq to chal nikal
kal kī kise ḳhabar hai kidhar kī havā chale
hai aaj ruKH hawa ka muafiq to chal nikal
kal ki kise KHabar hai kidhar ki hawa chale
mujh ko kaafī hai bas ik terā muāfiq honā
saarī duniyā bhī muḳhālif ho to kyā hotā hai
mujh ko kafi hai bas ek tera muafiq hona
sari duniya bhi muKHalif ho to kya hota hai
muaaf kar na sakī merī zindagī mujh ko
vo ek lamha ki maiñ tujh se tañg aayā thā
muaf kar na saki meri zindagi mujh ko
wo ek lamha ki main tujh se tang aaya tha
ye faiz-e-ishq thā ki huī har ḳhatā muaaf
vo ḳhush na ho sake to ḳhafā bhī na ho sake
ye faiz-e-ishq tha ki hui har KHata muaf
wo KHush na ho sake to KHafa bhi na ho sake
ḳhatā us kī muāfī se baḌī hai
maiñ kyā kartā sazā denī paḌī hai
KHata us ki muafi se baDi hai
main kya karta saza deni paDi hai
sair-e-bahār-e-bāġh se ham ko muaaf kījiye
us ke ḳhayāl-e-zulf se 'dard' kise farāġh hai
sair-e-bahaar-e-bagh se hum ko muaf kijiye
us ke KHayal-e-zulf se 'dard' kise faragh hai
pūchhā hai hāl-e-zār to sun lo ḳhatā-muāf
kuchh baat mere hoñToñ meñ hai kuchh zabān meñ
puchha hai haal-e-zar to sun lo KHata-muaf
kuchh baat mere honTon mein hai kuchh zaban mein
koī zaarī sunī nahīñ jaatī koī jurm muaaf nahīñ hotā
is dhartī par is chhat ke tale koī tere ḳhilāf nahīñ hotā
koi zari suni nahin jati koi jurm muaf nahin hota
is dharti par is chhat ke tale koi tere KHilaf nahin hota