Ishq hai to ishq ka izhaar hona chahiye:on propose day
Propose day comes just after rose day in valentine's week. Lovers make beautiful efforts to make their proposals unique and memorable. They create moments that last long as life. We bring you a curated page of couplets to help you propose to your beloved and make the day special.
ye kahnā thā un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne meñ mujh ko zamāne lage haiñ
ye kahna tha un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne mein mujh ko zamane lage hain
-
Tags : Ishqand 2 more
ishq ke iz.hār meñ har-chand rusvā.ī to hai
par karūñ kyā ab tabī.at aap par aa.ī to hai
ishq ke izhaar mein har-chand ruswai to hai
par karun kya ab tabiat aap par aai to hai
-
Tag : Izhaar
ek din kah lījiye jo kuchh hai dil meñ aap ke
ek din sun lījiye jo kuchh hamāre dil meñ hai
ek din kah lijiye jo kuchh hai dil mein aap ke
ek din sun lijiye jo kuchh hamare dil mein hai
hāl-e-dil kyuuñ kar kareñ apnā bayāñ achchhī tarah
rū-ba-rū un ke nahīñ chaltī zabāñ achchhī tarah
haal-e-dil kyun kar karen apna bayan achchhi tarah
ru-ba-ru un ke nahin chalti zaban achchhi tarah
tujh se kis tarah maiñ iz.hār-e-tamannā kartā
lafz sūjhā to ma.ānī ne baġhāvat kar dī
tujh se kis tarah main izhaar-e-tamanna karta
lafz sujha to maani ne baghawat kar di
sab kuchh ham un se kah ga.e lekin ye ittifāq
kahne kī thī jo baat vahī dil meñ rah ga.ī
sab kuchh hum un se kah gae lekin ye ittifaq
kahne ki thi jo baat wahi dil mein rah gai
zabāñ ḳhāmosh magar nazroñ meñ ujālā dekhā
us kā iz.hār-e-mohabbat bhī nirālā dekhā
zaban KHamosh magar nazron mein ujala dekha
us ka izhaar-e-mohabbat bhi nirala dekha
aur is se pahle ki sābit ho jurm-e-ḳhāmoshī
ham apnī raa.e kā iz.hār karnā chāhte haiñ
aur is se pahle ki sabit ho jurm-e-KHamoshi
hum apni rae ka izhaar karna chahte hain
-
Tag : Izhaar
dil pe kuchh aur guzartī hai magar kyā kiije
lafz kuchh aur hī iz.hār kiye jaate haiñ
dil pe kuchh aur guzarti hai magar kya kije
lafz kuchh aur hi izhaar kiye jate hain
-
Tags : Diland 1 more
kiije iz.hār-e-mohabbat chāhe jo anjām ho
zindagī meñ zindagī jaisā koī to kaam ho
kije izhaar-e-mohabbat chahe jo anjam ho
zindagi mein zindagi jaisa koi to kaam ho
koī milā hī nahīñ jis se hāl-e-dil kahte
milā to rah ga.e lafzoñ ke intiḳhāb meñ ham
koi mila hi nahin jis se haal-e-dil kahte
mila to rah gae lafzon ke intiKHab mein hum
iz.hār pe bhārī hai ḳhamoshī kā takallum
harfoñ kī zabāñ aur hai āñkhoñ kī zabāñ aur
izhaar pe bhaari hai KHamoshi ka takallum
harfon ki zaban aur hai aankhon ki zaban aur
ishq hai to ishq kā iz.hār honā chāhiye
aap ko chehre se bhī bīmār honā chāhiye
ishq hai to ishq ka izhaar hona chahiye
aap ko chehre se bhi bimar hona chahiye
-
Tags : Chehraand 2 more
hāl-e-dil sunte nahīñ ye kah ke ḳhush kar dete haiñ
phir kabhī fursat meñ sun leñge kahānī aap kī
haal-e-dil sunte nahin ye kah ke KHush kar dete hain
phir kabhi fursat mein sun lenge kahani aap ki
-
Tag : Izhaar
hāl-e-dil yaar ko mahfil meñ sunā.eñ kyūñ-kar
mudda.ī kaan idhar aur udhar rakhte haiñ
haal-e-dil yar ko mahfil mein sunaen kyun-kar
muddai kan idhar aur udhar rakhte hain
-
Tag : Izhaar
muskurā.e vo hāl-e-dil sun kar
aur goyā javāb thā hī nahīñ
muskurae wo haal-e-dil sun kar
aur goya jawab tha hi nahin
kyā balā thī adā-e-pursish-e-yār
mujh se iz.hār-e-mudda.ā na huā
kya bala thi ada-e-pursish-e-yar
mujh se izhaar-e-muddaa na hua
mudda.ā iz.hār se khultā nahīñ hai
ye zabān-e-be-zabānī aur hai
muddaa izhaar se khulta nahin hai
ye zaban-e-be-zabani aur hai
-
Tag : Izhaar
kyuuñ na 'tanvīr' phir iz.hār kī jur.at kiije
ḳhāmushī bhī to yahāñ bā.is-e-rusvā.ī hai
kyun na 'tanwir' phir izhaar ki jurat kije
KHamushi bhi to yahan bais-e-ruswai hai
-
Tag : Izhaar