Maghfirat ki Shayari
ye lāsh-e-be-kafan 'asad'-e-ḳhasta-jāñ kī hai
haq maġhfirat kare ajab āzād mard thā
ye lash-e-be-kafan 'asad'-e-KHasta-jaan ki hai
haq maghfirat kare ajab aazad mard tha
kahte haiñ aaj 'zauq' jahāñ se guzar gayā
kyā ḳhuub aadmī thā ḳhudā maġhfirat kare
kahte hain aaj 'zauq' jahan se guzar gaya
kya KHub aadmi tha KHuda maghfirat kare
ab ḳhudā maġhfirat kare us kī
'mīr' marhūm thā ajab koī
ab KHuda maghfirat kare us ki
'mir' marhum tha ajab koi
maġhfirat kī nazar aatī hai bas itnī sūrat
ham gunāhoñ se pashemān rahā karte haiñ
maghfirat ki nazar aati hai bas itni surat
hum gunahon se pasheman raha karte hain
haañ ḳhudā maġhfirat kare us ko
sabr marhūm thā ajab koī
han KHuda maghfirat kare us ko
sabr marhum tha ajab koi
pā liyā ahl-e-junūñ ne phir shahādat kā maqām
aql vaale maġhfirat kī hī duā māñgā kiye
pa liya ahl-e-junun ne phir shahadat ka maqam
aql wale maghfirat ki hi dua manga kiye
maulā se maġhfirat ke alāva duā meñ 'shād'
kuchh aur māñgne kī jasārat kabhī na kī
maula se maghfirat ke alawa dua mein 'shad'
kuchh aur mangne ki jasarat kabhi na ki
sunte haiñ ek 'faiz' ġharīb-ud-dayār thā
haq maġhfirat kare ki qazā ho gayā vo shaḳhs
sunte hain ek 'faiz' gharib-ud-dayar tha
haq maghfirat kare ki qaza ho gaya wo shaKHs
samajhtā huuñ vasīla maġhfirat kā sharm-e-isyāñ ko
ki ashkoñ se mire dhul jā.egā dāmān-e-tar merā
samajhta hun wasila maghfirat ka sharm-e-isyan ko
ki ashkon se mere dhul jaega daman-e-tar mera
hameñ vaa.iz Darātā kyuuñ hai dozaḳh ke azāboñ se
ma.āsī go hamāre besh hoñ kuchh maġhfirat kam hai
hamein waiz Daraata kyun hai dozaKH ke azabon se
maasi go hamare besh hon kuchh maghfirat kam hai
tabāhī tak to aa pahuñche ba-faiz-e-maġhfirat vaa.iz
ḳhudārā ab to mīr-e-kārvāñ kā zikr karne do
tabahi tak to aa pahunche ba-faiz-e-maghfirat waiz
KHudara ab to mir-e-karwan ka zikr karne do