Meer Sahab in love
Meer is known as Khuda-e-Sukhan in Urdu, and rightly so. Read these selected couplets and witness Meer Sahab as a lover.
ham hue tum hue ki 'mīr' hue
us kī zulfoñ ke sab asiir hue
whether me or you, or miir it may be
are prisoners of her tresses for eternity
hum hue tum hue ki 'mir' hue
us ki zulfon ke sab asir hue
whether me or you, or miir it may be
are prisoners of her tresses for eternity
-
Tags : Famous shayariand 1 more
aag the ibtidā-e-ishq meñ ham
ab jo haiñ ḳhaak intihā hai ye
aag the ibtida-e-ishq mein hum
ab jo hain KHak intiha hai ye
phuul gul shams o qamar saare hī the
par hameñ un meñ tumhīñ bhaa.e bahut
phul gul shams o qamar sare hi the
par hamein un mein tumhin bhae bahut
-
Tags : Chaandand 2 more
ishq ik 'mīr' bhārī patthar hai
kab ye tujh nā-tavāñ se uThtā hai
love is a real burden, Miir, it is a heavy stone
how can it be lifted by a weak person alone?
ishq ek 'mir' bhaari patthar hai
kab ye tujh na-tawan se uThta hai
love is a real burden, Miir, it is a heavy stone
how can it be lifted by a weak person alone?
-
Tags : Famous shayariand 2 more
zaḳhm jhele daaġh bhī khaa.e bahut
dil lagā kar ham to pachhtā.e bahut
zaKHm jhele dagh bhi khae bahut
dil laga kar hum to pachhtae bahut
mire salīqe se merī nibhī mohabbat meñ
tamām umr maiñ nākāmiyoñ se kaam liyā
in my own way I have dealt with love you see
all my life I made my failures work for me
mere saliqe se meri nibhi mohabbat mein
tamam umr main nakaamiyon se kaam liya
in my own way I have dealt with love you see
all my life I made my failures work for me
-
Tags : Ishqand 2 more
phirte haiñ 'mīr' ḳhvār koī pūchhtā nahīñ
is āshiqī meñ izzat-e-sādāt bhī ga.ī
phirte hain 'mir' KHwar koi puchhta nahin
is aashiqi mein izzat-e-sadat bhi gai
ishq karte haiñ us parī-rū se
'mīr' sāhab bhī kyā divāne haiñ
he is in love with that angel face
what a crazy person is this miir
ishq karte hain us pari-ru se
'mir' sahab bhi kya diwane hain
he is in love with that angel face
what a crazy person is this miir
ham ne apnī sī kī bahut lekin
maraz-e-ishq kā ilaaj nahīñ
every avenue did I explore
but my lovesickness has no cure
hum ne apni si ki bahut lekin
maraz-e-ishq ka ilaj nahin
every avenue did I explore
but my lovesickness has no cure
kāsa-e-chashm le ke juuñ nargis
ham ne dīdār kī gadā.ī kī
kasa-e-chashm le ke jun nargis
hum ne didar ki gadai ki
-
Tag : Deedar
lagā na dil ko kahīñ kyā sunā nahīñ tū ne
jo kuchh ki 'mīr' kā is āshiqī ne haal kiyā
laga na dil ko kahin kya suna nahin tu ne
jo kuchh ki 'mir' ka is aashiqi ne haal kiya
masā.ib aur the par dil kā jaanā
ajab ik sāneha sā ho gayā hai
masaib aur the par dil ka jaana
ajab ek saneha sa ho gaya hai
'mīr'-jī zard hote jaate ho
kyā kahīñ tum ne bhī kiyā hai ishq
'mir'-ji zard hote jate ho
kya kahin tum ne bhi kiya hai ishq
lete hī naam us kā sote se chauñk uTThe
hai ḳhair 'mīr'-sāhib kuchh tum ne ḳhvāb dekhā
lete hi nam us ka sote se chaunk uTThe
hai KHair 'mir'-sahib kuchh tum ne KHwab dekha
ishq kā ghar hai 'mīr' se ābād
aise phir ḳhānamāñ-ḳharāb kahāñ
love's abode has been by miir inhabited
???
ishq ka ghar hai 'mir' se aabaad
aise phir KHanaman-KHarab kahan
love's abode has been by miir inhabited
???
ham taur-e-ishq se to vāqif nahīñ haiñ lekin
siine meñ jaise koī dil ko malā kare hai
hum taur-e-ishq se to waqif nahin hain lekin
sine mein jaise koi dil ko mala kare hai
samjhe the ham to miir ko āshiq usī ghaḌī
jab sun ke terā naam vo betāb sā huā
samjhe the hum to mir ko aashiq usi ghaDi
jab sun ke tera nam wo betab sa hua
aalam aalam ishq-o-junūñ hai duniyā duniyā tohmat hai
dariyā dariyā rotā huuñ maiñ sahrā sahrā vahshat hai
aalam aalam ishq-o-junun hai duniya duniya tohmat hai
dariya dariya rota hun main sahra sahra wahshat hai
zer-e-shamshīr-e-sitam 'mīr' taḌapnā kaisā
sar bhī taslīm-e-mohabbat meñ hilāyā na gayā
zer-e-shamshir-e-sitam 'mir' taDapna kaisa
sar bhi taslim-e-mohabbat mein hilaya na gaya
kahnā thā kisū se kuchh taktā thā kisū kā muñh
kal 'mīr' khaḌā thā yaañ sach hai ki divāna thā
kahna tha kisu se kuchh takta tha kisu ka munh
kal 'mir' khaDa tha yan sach hai ki diwana tha
kyā jāniye ki ishq meñ ḳhuuñ ho gayā ki daaġh
chhātī meñ ab to dil kī jagah ek dard hai
kya jaaniye ki ishq mein KHun ho gaya ki dagh
chhati mein ab to dil ki jagah ek dard hai
rahā thā dekh ūdhar 'mīr' chalte
ajab ik nā-umīdī thī nazar meñ
raha tha dekh udhar 'mir' chalte
ajab ek na-umidi thi nazar mein
jaise bijlī ke chamakne se kisū kī sudh jaa.e
be-ḳhudī aa.ī achānak tire aa jaane se
jaise bijli ke chamakne se kisu ki sudh jae
be-KHudi aai achanak tere aa jaane se
gar us ke or koī garmī se dekhtā hai
ik aag lag uThe hai apne to tan badan meñ
gar us ke or koi garmi se dekhta hai
ek aag lag uThe hai apne to tan badan mein
kuchh na dekhā phir ba-juz yak shola-e-pur-pech-o-tāb
sham.a tak to ham ne dekhā thā ki parvāna gayā
kuchh na dekha phir ba-juz yak shola-e-pur-pech-o-tab
shama tak to hum ne dekha tha ki parwana gaya