Naraaz Shayari
nazar aatī haiñ sū-e-asmāñ kabhī bijliyāñ kabhī āñdhiyāñ
kahīñ jal na jaa.e ye āshiyāñ kahīñ uḌ na jaa.eñ ye chaar par
nazar aati hain su-e-asman kabhi bijliyan kabhi aandhiyan
kahin jal na jae ye aashiyan kahin uD na jaen ye chaar par
nazar aatī hai saarī kā.enāt-e-mai-kada raushan
ye kis ke sāġhar-e-rañgīñ se phūTī hai kiran saaqī
nazar aati hai sari kaenat-e-mai-kada raushan
ye kis ke saghar-e-rangin se phuTi hai kiran saqi
nazar aatā nahīñ ab ghar meñ vo bhī uf re tanhā.ī
ik ā.īne meñ pahle aadmī thā merī sūrat kā
nazar aata nahin ab ghar mein wo bhi uf re tanhai
ek aaine mein pahle aadmi tha meri surat ka
nazar aatī nahīñ saḌkoñ pe lāsheñ
amīr-e-shahr andhā ho gayā hai
nazar aati nahin saDkon pe lashen
amir-e-shahr andha ho gaya hai
nazar aatī nahīñ ab dil meñ tamannā koī
baad muddat ke tamannā mirī bar aa.ī hai
nazar aati nahin ab dil mein tamanna koi
baad muddat ke tamanna meri bar aai hai
nazar bhar ke jo dekh sakte haiñ tujh ko
maiñ un kī nazar dekhnā chāhtā huuñ
nazar bhar ke jo dekh sakte hain tujh ko
main un ki nazar dekhna chahta hun
nazar bachā ke guzar jaa.eñ mujh se vo lekin
mere ḳhayāl se dāman bachā nahīñ sakte
nazar bacha ke guzar jaen mujh se wo lekin
mere KHayal se daman bacha nahin sakte
nazar aatā nahīñ mujh kuuñ sabab kyā
mirā nāzuk badan haihāt haihāt
nazar aata nahin mujh kun sabab kya
mera nazuk badan haihat haihat