Top 10 couplets of Bismil Azimabadi
Famous poet of Azimabad, Wrote oft-quoted sher 'sarfaroshii kii tamannaa ab hamaare dil me.n hai…'
sarfaroshī kī tamannā ab hamāre dil meñ hai
dekhnā hai zor kitnā bāzu-e-qātil meñ hai
sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai
dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil mein hai
-
Tags : Deshbhaktiand 4 more
tum sun ke kyā karoge kahānī ġharīb kī
jo sab kī sun rahā hai kaheñge usī se ham
tum sun ke kya karoge kahani gharib ki
jo sab ki sun raha hai kahenge usi se hum
ho na māyūs ḳhudā se 'bismil'
ye bure din bhī guzar jā.eñge
ho na mayus KHuda se 'bismil'
ye bure din bhi guzar jaenge
majbūriyoñ ko apnī kaheñ kyā kisī se ham
laa.e ga.e haiñ, aa.e nahīñ haiñ ḳhushī se ham
majburiyon ko apni kahen kya kisi se hum
lae gae hain, aae nahin hain KHushi se hum
allāh tere haath hai ab ābrū-e-shauq
dam ghuT rahā hai vaqt kī raftār dekh kar
allah tere hath hai ab aabru-e-shauq
dam ghuT raha hai waqt ki raftar dekh kar
-
Tag : Waqt
ek din vo din the rone pe hañsā karte the ham
ek ye din haiñ ki ab hañsne pe ronā aa.e hai
ek din wo din the rone pe hansa karte the hum
ek ye din hain ki ab hansne pe rona aae hai
jur.at-e-shauq to kyā kuchh nahīñ kahtī lekin
paañv phailāne nahīñ detī hai chādar mujh ko
jurat-e-shauq to kya kuchh nahin kahti lekin
panw phailane nahin deti hai chadar mujh ko
-
Tag : Muflisi
'bismil' butoñ kā ishq mubārak tumheñ magar
itne niDar na ho ki ḳhudā kā bhī Dar na ho
'bismil' buton ka ishq mubarak tumhein magar
itne niDar na ho ki KHuda ka bhi Dar na ho
kahāñ qarār hai kahne ko dil qarār meñ hai
jo thī ḳhizāñ meñ vahī kaifiyat bahār meñ hai
kahan qarar hai kahne ko dil qarar mein hai
jo thi KHizan mein wahi kaifiyat bahaar mein hai
kyā kareñ jām-o-subū haath pakaḌ lete haiñ
jī to kahtā hai ki uTh jā.iye mai-ḳhāne se
kya karen jam-o-subu hath pakaD lete hain
ji to kahta hai ki uTh jaiye mai-KHane se