Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Jaleel 'Aali''s Photo'

Jaleel 'Aali'

1945 | Rawalpindi, Pakistan

Sher of Jaleel 'Aali'

22.8K
Favorite

SORT BY

dil ābād kahāñ rah paa.e us yaad bhulā dene se

kamra vīrāñ ho jaatā hai ik tasvīr haTā dene se

dil aabaad kahan rah pae us ki yaad bhula dene se

kamra viran ho jata hai ek taswir haTa dene se

rāsta sochte rahne se kidhar bantā hai

sar meñ saudā ho to dīvār meñ dar bantā hai

rasta sochte rahne se kidhar banta hai

sar mein sauda ho to diwar mein dar banta hai

dil pe kuchh aur guzartī hai magar kyā kiije

lafz kuchh aur iz.hār kiye jaate haiñ

dil pe kuchh aur guzarti hai magar kya kije

lafz kuchh aur hi izhaar kiye jate hain

apne diye ko chāñd batāne ke vāste

bastī har charāġh bujhānā paḌā hameñ

apne diye ko chand batane ke waste

basti ka har charagh bujhana paDa hamein

duniyā to hai duniyā ki vo dushman hai sadā

sau baar tire ishq meñ ham ḳhud se laḌe haiñ

duniya to hai duniya ki wo dushman hai sada ki

sau bar tere ishq mein hum KHud se laDe hain

aalī sher ho afsāna chāhat taanā baanā

lutf adhūrā rah jaatā hai puurī baat batā dene se

aali sher ho ya afsana ya chahat ka tana bana

lutf adhura rah jata hai puri baat bata dene se

to zindagī ko ji.eñ kyuuñ na zindagī tarah

kahīñ pe phuul kahīñ par sharar banāte hue

to zindagi ko jien kyun na zindagi ki tarah

kahin pe phul kahin par sharar banate hue

kyā kyā diloñ ḳhauf chhupānā paḌā hameñ

ḳhud Dar ga.e to sab ko Darānā paḌā hameñ

kya kya dilon ka KHauf chhupana paDa hamein

KHud Dar gae to sab ko Darana paDa hamein

tumhārā kyā tumheñ āsāñ bahut raste badalnā hai

hameñ har ek mausam qāfile ke saath chalnā hai

tumhaara kya tumhein aasan bahut raste badalna hai

hamein har ek mausam qafile ke sath chalna hai

rāsta aage bhī le jaatā nahīñ

lauT kar jaanā bhī mushkil ho gayā

rasta aage bhi le jata nahin

lauT kar jaana bhi mushkil ho gaya

use dil se bhulā denā zarūrī ho gayā hai

ye jhagḌā miTā denā zarūrī ho gayā hai

use dil se bhula dena zaruri ho gaya hai

ye jhagDa hi miTa dena zaruri ho gaya hai

pyaar vo peḌ hai sau baar ukhāḌo dil se

phir bhī siine meñ koī daab salāmat rah jaa.e

pyar wo peD hai sau bar ukhaDo dil se

phir bhi sine mein koi dab salamat rah jae

zarā baat par said-e-ġhubār-e-yās honā

hameñ barbād kar degā bahut hassās honā

zara si baat par said-e-ghubar-e-yas hona

hamein barbaad kar dega bahut hassas hona

ye shahr-e-tilismāt hai kuchh kah nahīñ sakte

pahlū meñ khaḌā shaḳhs farishta ki balā hai

ye shahr-e-tilismat hai kuchh kah nahin sakte

pahlu mein khaDa shaKHs farishta ki bala hai

vaqt detā hai jo pahchān to ye dekhtā hai

kis ne kis dard meñ dil ḳhushī rakkhī huī hai

waqt deta hai jo pahchan to ye dekhta hai

kis ne kis dard mein dil ki KHushi rakkhi hui hai

ishq ḳhud sikhātā hai saarī hikmateñ 'ālī'

naqd-e-dil kise denā bār-e-sar kahāñ rakhnā

ishq KHud sikhata hai sari hikmaten 'ali'

naqd-e-dil kise dena bar-e-sar kahan rakhna

ġhurūr-e-ishq meñ ik inkisār-e-faqr bhī hai

ḳhamīda-sar haiñ vafā ko alam banāte hue

ghurur-e-ishq mein ek inkisar-e-faqr bhi hai

KHamida-sar hain wafa ko alam banate hue

jaañ khapāte haiñ ġham-e-ishq meñ ḳhush ḳhush 'ālī'

kaisī lazzat ye āzār banāyā huā hai

jaan khapate hain gham-e-ishq mein KHush KHush 'ali'

kaisi lazzat ka ye aazar banaya hua hai

ham ki haiñ naqsh sar-e-reg-e-ravāñk kyā jaane

kab koī mauj-e-havā apnā nishāñ le jaa.e

hum ki hain naqsh sar-e-reg-e-rawank kya jaane

kab koi mauj-e-hawa apna nishan le jae

barg bhar baar mohabbat uThāyā kab thā

tum ne siine meñ koī dard basāyā kab thā

TRANSLATION

Leaf-like weight of love, when had you bore,

In your bosom any pain, when did you store.

Sagar Akbarabadi

barg bhar bar mohabbat ka uThaya kab tha

tum ne sine mein koi dard basaya kab tha

TRANSLATION

Leaf-like weight of love, when had you bore,

In your bosom any pain, when did you store.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now