Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Zafar Gorakhpuri's Photo'

Zafar Gorakhpuri

1935 - 2017 | Mumbai, India

Prominent poet associated with progressive movement.

Prominent poet associated with progressive movement.

Sher of Zafar Gorakhpuri

5.5K
Favorite

SORT BY

dekheñ qarīb se bhī to achchhā dikhā.ī de

ik aadmī to shahr meñ aisā dikhā.ī de

dekhen qarib se bhi to achchha dikhai de

ek aadmi to shahr mein aisa dikhai de

apne atvār meñ kitnā baḌā shātir hogā

zindagī tujh se kabhī jis ne shikāyat nahīñ

apne atwar mein kitna baDa shatir hoga

zindagi tujh se kabhi jis ne shikayat nahin ki

chhat Tapaktī thī agarche phir bhī aa jaatī thī niind

maiñ na.e ghar meñ bahut royā purāne ke liye

chhat Tapakti thi agarche phir bhi aa jati thi nind

main nae ghar mein bahut roya purane ke liye

merī ik chhoTī koshish tujh ko paane ke liye

ban ga.ī hai mas.ala saare zamāne ke liye

meri ek chhoTi si koshish tujh ko pane ke liye

ban gai hai masala sare zamane ke liye

kitnī āsānī se mash.hūr kiyā hai ḳhud ko

maiñ ne apne se baḌe shaḳhs ko gaalī de kar

kitni aasani se mashhur kiya hai KHud ko

main ne apne se baDe shaKHs ko gali de kar

abhī zinda haiñ ham par ḳhatm kar le imtihāñ saare

hamāre baad koī imtihāñ koī nahīñ degā

abhi zinda hain hum par KHatm kar le imtihan sare

hamare baad koi imtihan koi nahin dega

āsmāñ aisā bhī kyā ḳhatra thā dil aag se

itnī bārish ek shole ko bujhāne ke liye

aasman aisa bhi kya KHatra tha dil ki aag se

itni barish ek shole ko bujhane ke liye

maiñ 'zafar' tā-zindagī biktā rahā pardes meñ

apnī ghar-vālī ko ik kañgan dilāne ke liye

main 'zafar' ta-zindagi bikta raha pardes mein

apni ghar-wali ko ek kangan dilane ke liye

ḳhat likh ke kabhī aur kabhī ḳhat ko jalā kar

tanhā.ī ko rañgīn banā kyuuñ nahīñ lete

KHat likh ke kabhi aur kabhi KHat ko jala kar

tanhai ko rangin bana kyun nahin lete

samundar le gayā ham se vo saarī sīpiyāñ vāpas

jinheñ ham jamma kar ke ik ḳhazāna karne vaale the

samundar le gaya hum se wo sari sipiyan wapas

jinhen hum jamma kar ke ek KHazana karne wale the

kaisī shab hai ek ik karvaT pe kaT jaatā hai jism

mere bistar meñ ye talvāreñ kahāñ se aa ga.iiñ

kaisi shab hai ek ek karwaT pe kaT jata hai jism

mere bistar mein ye talwaren kahan se aa gain

shajar ke qatl meñ is bhī haath hai shāyad

batā rahā hai ye bād-e-sabā chup rahnā

shajar ke qatl mein is ka bhi hath hai shayad

bata raha hai ye baad-e-saba ka chup rahna

tanhā.ī ko ghar se ruḳhsat kar to do

socho kis ke ghar jā.egī tanhā.ī

tanhai ko ghar se ruKHsat kar to do

socho kis ke ghar jaegi tanhai

āñkheñ yuuñ bhiig ga.iiñ kyā dekh rahe ho āñkhoñ meñ

baiTho sāhab kaho suno kuchh mile ho kitne saal ke baad

aankhen yun hi bhig gain kya dekh rahe ho aankhon mein

baiTho sahab kaho suno kuchh mile ho kitne sal ke baad

koī āñkhoñ ke shole poñchhne vaalā nahīñ hogā

'zafar' sāhab ye giilī āstīñ kaam aa.egī

koi aankhon ke shole ponchhne wala nahin hoga

'zafar' sahab ye gili aastin hi kaam aaegi

zehnoñ kahīñ jañg kahīñ zaat Takrāv

in sab sabab ek mafādāt Takrāv

zehnon ki kahin jang kahin zat ka Takraw

in sab ka sabab ek mafadat ka Takraw

falak ne bhī na Thikānā kahīñ diyā ham ko

makāñ niiv zamīñ se haTā ke rakkhī thī

falak ne bhi na Thikana kahin diya hum ko

makan ki niw zamin se haTa ke rakkhi thi

nahīñ mālūm āḳhir kis ne kis ko thaam rakkhā hai

vo mujh meñ gum hai aur mere dar o dīvār gum us meñ

nahin malum aaKHir kis ne kis ko tham rakkha hai

wo mujh mein gum hai aur mere dar o diwar gum us mein

shāyad ab tak mujh meñ koī ghoñsla ābād hai

ghar meñ ye chiḌiyoñ chahkāreñ kahāñ se aa ga.iiñ

shayad ab tak mujh mein koi ghonsla aabaad hai

ghar mein ye chiDiyon ki chahkaren kahan se aa gain

use Thahrā sako itnī bhī to vus.at nahīñ ghar meñ

ye sab kuchh jaan kar āvārgī se chāhte kyā ho

use Thahra sako itni bhi to wusat nahin ghar mein

ye sab kuchh jaan kar aawargi se chahte kya ho

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now