Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ziaul Mustafa Turk's Photo'

Ziaul Mustafa Turk

1976 | Multan, Pakistan

Sher of Ziaul Mustafa Turk

460
Favorite

SORT BY

thoḌī bārish hotī hai

kitnī jaldī bhar jaatā huuñ

thoDi si barish hoti hai

kitni jaldi bhar jata hun

jab bachchoñ ko dekhtā huuñ to sochtā huuñ

mālik in phūloñ umr darāz kare

jab bachchon ko dekhta hun to sochta hun

malik in phulon ki umr daraaz kare

āvāzoñ meñ bahte bahte

ḳhāmoshī se mar jaatā huuñ

aawazon mein bahte bahte

KHamoshi se mar jata hun

kisī sub.h āñgan meñ utar aatī hai

maiñ kisī dhuup dālān meñ aa jaatā huuñ

tu kisi subh si aangan mein utar aati hai

main kisi dhup sa dalan mein aa jata hun

tujh ko chhuā to der tak ḳhud ko DhūñDtā rahā

itnī der meñ bhalā tujh se kahāñ milā huuñ maiñ

tujh ko chhua to der tak KHud ko hi DhunDta raha

itni si der mein bhala tujh se kahan mila hun main

kivāḌ khulne se pahle din nikal aayā

bashārateñ abhī sāmān meñ paḌī huī thiiñ

kiwaD khulne se pahle hi din nikal aaya

bashaaraten abhi saman mein paDi hui thin

har ek saaz ko sāzindagāñ nahīñ darkār

badan ko zarbat-e-mizrāb se ilāqa nahīñ

har ek saz ko sazindagan nahin darkar

badan ko zarbat-e-mizrab se ilaqa nahin

abr se aur dhuup se rishta hai ek mirā

aa.ine aur charāġh ke biich fāsla huuñ maiñ

abr se aur dhup se rishta hai ek sa mera

aaine aur charagh ke bich ka fasla hun main

kisī safar kisī asbāb se ilāqa nahīñ

tumhāre baad kisī ḳhvāb se ilāqa nahīñ

kisi safar kisi asbab se ilaqa nahin

tumhaare baad kisi KHwab se ilaqa nahin

tire ġhayāb ko maujūd meñ badalte hue

kabhī maiñ ḳhud ko tire naam se bulātā huā

tere ghayab ko maujud mein badalte hue

kabhi main KHud ko tere nam se bulata hua

qatra qatra chhat se risne lagī

dhuup rasta na thā dīvār meñ

qatra qatra chhat se hi risne lagi

dhup ka rasta na tha diwar mein

maiñ jāgte meñ kahīñ ban rahā huuñ az-sar-e-nau

vo apne ḳhvāb meñ tashkīl kar rahā hai mujhe

main jagte mein kahin ban raha hun az-sar-e-nau

wo apne KHwab mein tashkil kar raha hai mujhe

samajh paayā nahīñ par sun rahā huuñ

vo sargoshī meñ kyā kyā kah rahī hai

samajh paya nahin par sun raha hun

wo sargoshi mein kya kya kah rahi hai

yuuñ to mus.haf bhī uThā.e ga.e qasmeñ bhī magar

āḳhirī faisla talvār uThāne se huā

yun to mushaf bhi uThae gae qasmen bhi magar

aaKHiri faisla talwar uThane se hua

tirī ḳhvāhish kisī imkāñ sūrat

hamesha mujh meñ tah-dar-tah rahī hai

teri KHwahish kisi imkan ki surat

hamesha mujh mein tah-dar-tah rahi hai

ham apne aap se bhī ham-suḳhan na hote the

ki saarī mushkileñ āsān meñ paḌī huī thiiñ

hum apne aap se bhi ham-suKHan na hote the

ki sari mushkilen aasan mein paDi hui thin

mere girya se na āzār uThāne se huā

fāsla tai na.ī dīvār uThāne se huā

mere girya se na aazar uThane se hua

fasla tai nai diwar uThane se hua

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now