Sher of Mahirul Qadri
aql kahtī hai dobāra āzmānā jahl hai
dil ye kahtā hai fareb-e-dost khāte jā.iye
aql kahti hai dobara aazmana jahl hai
dil ye kahta hai fareb-e-dost khate jaiye
sunāte ho kise ahvāl 'māhir'
vahāñ to muskurāyā jā rahā hai
sunate ho kise ahwal 'mahir'
wahan to muskuraya ja raha hai
ye kah ke dil ne mire hausle baḌhā.e haiñ
ġhamoñ kī dhuup ke aage ḳhushī ke saa.e haiñ
ye kah ke dil ne mere hausle baDhae hain
ghamon ki dhup ke aage KHushi ke sae hain
ik baar tujhe aql ne chāhā thā bhulānā
sau baar junūñ ne tirī tasvīr dikhā dī
ek bar tujhe aql ne chaha tha bhulana
sau bar junun ne teri taswir dikha di
agar ḳhamosh rahūñ maiñ to tū hī sab kuchh hai
jo kuchh kahā to tirā husn ho gayā mahdūd
agar KHamosh rahun main to tu hi sab kuchh hai
jo kuchh kaha to tera husn ho gaya mahdud
yahī hai zindagī apnī yahī hai bandagī apnī
ki un kā naam aayā aur gardan jhuk ga.ī apnī
TRANSLATION
This alone is my life, thisalone is my prayer,
On hearing thy name, my neck bows as ever.
Sagar Akbarabadi
yahi hai zindagi apni yahi hai bandagi apni
ki un ka nam aaya aur gardan jhuk gai apni
TRANSLATION
This alone is my life, thisalone is my prayer,
On hearing thy name, my neck bows as ever.
Sagar Akbarabadi
yuuñ kar rahā huuñ un kī mohabbat ke tazkire
jaise ki un se merī baḌī rasm-o-rāh thī
yun kar raha hun un ki mohabbat ke tazkire
jaise ki un se meri baDi rasm-o-rah thi
naqāb-e-ruḳh uThāyā jā rahā hai
vo niklī dhuup saayā jā rahā hai
from the confines of the veil your face is now being freed
lo sunshine now emerges, the shadows now recede
naqab-e-ruKH uThaya ja raha hai
wo nikli dhup saya ja raha hai
from the confines of the veil your face is now being freed
lo sunshine now emerges, the shadows now recede
ibtidā vo thī ki jiine ke liye martā thā maiñ
intihā ye hai ki marne kī bhī hasrat na rahī
At the start, life prolonged,was my deep desire
now at the end, even for death, I do not aspire
ibtida wo thi ki jine ke liye marta tha main
intiha ye hai ki marne ki bhi hasrat na rahi
At the start, life prolonged,was my deep desire
now at the end, even for death, I do not aspire