Sher of Akhtar Usman
vaqt ab dastaras meñ hai 'aḳhtar'
ab to maiñ jis jahān tak ho aa.uuñ
waqt ab dastaras mein hai 'aKHtar'
ab to main jis jahan tak ho aaun
-
Tag : Waqt
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shahr ḳhālī hai kise eid mubārak kahiye
chal diye chhoḌ ke makka bhī madīna vaale
shahr KHali hai kise eid mubarak kahiye
chal diye chhoD ke makka bhi madina wale
ye kā.enāt mire sāmne hai misl-e-bisāt
kahīñ junūñ meñ ulaT duuñ na is jahān ko maiñ
ye kaenat mere samne hai misl-e-bisat
kahin junun mein ulaT dun na is jahan ko main
shaam aa.e aur ghar ke liye dil machal uThe
shaam aa.e aur dil ke liye koī ghar na ho
sham aae aur ghar ke liye dil machal uThe
sham aae aur dil ke liye koi ghar na ho