Sher of Asar Lakhnavi
ek ujḌā huā diyā huuñ maiñ
aage aaya hai sab kiyā merā
ek ujDa hua diya hun main
aage aaya hai sab kiya mera
aah kis se kaheñ ki ham kyā the
sab yahī dekhte haiñ kyā haiñ ham
aah kis se kahen ki hum kya the
sab yahi dekhte hain kya hain hum
aap kā ḳhat nahīñ milā mujh ko
daulat-e-do-jahāñ milī mujh ko
aap ka KHat nahin mila mujh ko
daulat-e-do-jahan mili mujh ko
zindagī aur zindagī kī yādgār
parda aur parde pe kuchh parchhā.iyāñ
zindagi aur zindagi ki yaadgar
parda aur parde pe kuchh parchhaiyan
idhar se aaj vo guzre to muñh phere hue guzre
ab un se bhī hamārī be-kasī dekhī nahīñ jaatī
idhar se aaj wo guzre to munh phere hue guzre
ab un se bhi hamari be-kasi dekhi nahin jati
ishq se log manā karte haiñ
jaise kuchh iḳhtiyār hai apnā
ishq se log mana karte hain
jaise kuchh iKHtiyar hai apna
ik baat bhalā pūchheñ kis tarah manāoge
jaise koī rūThā hai aur tum ko manānā hai
ek baat bhala puchhen kis tarah manaoge
jaise koi ruTha hai aur tum ko manana hai
baat khote jo iltijā karte
ai dil-e-nā-murād kyā karte
baat khote jo iltija karte
ai dil-e-na-murad kya karte
ye sochte hī rahe aur bahār ḳhatm huī
kahāñ chaman meñ nasheman bane kahāñ na bane
i kept contemplating, spring came and went away
where in the garden should I make my nest today
ye sochte hi rahe aur bahaar KHatm hui
kahan chaman mein nasheman bane kahan na bane
i kept contemplating, spring came and went away
where in the garden should I make my nest today
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
qāsid payām un kā na kuchh der abhī sunā
rahne de mahv-e-lazzat-e-zauq-e-ḳhabar mujhe
qasid payam un ka na kuchh der abhi suna
rahne de mahw-e-lazzat-e-zauq-e-KHabar mujhe
karam par bhī hotā hai dhokā sitam kā
yahāñ tak alam-āshnā ho ga.e ham
karam par bhi hota hai dhoka sitam ka
yahan tak alam-ashna ho gae hum
kuchh der fikr ālam-e-bālā kī chhoḌ do
is anjuman kā raaz isī anjuman meñ hai
thoughts of paradise for a while do leave aside
the secrets of this life do in this world reside
kuchh der fikr aalam-e-baala ki chhoD do
is anjuman ka raaz isi anjuman mein hai
thoughts of paradise for a while do leave aside
the secrets of this life do in this world reside
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
tumhārā husn ārā.ish tumhārī sādgī zevar
tumheñ koī zarūrat hī nahīñ banñe sañvarne kī
tumhaara husn aaraish tumhaari sadgi zewar
tumhein koi zarurat hi nahin banne sanwarne ki
jo aap kaheñ us meñ ye pahlū hai vo pahlū
aur ham jo kaheñ baat meñ vo baat nahīñ hai
jo aap kahen us mein ye pahlu hai wo pahlu
aur hum jo kahen baat mein wo baat nahin hai
jo sazā diije hai bajā mujh ko
tujh se karnī na thī vafā mujh ko
whatever punishment you mete, will be surely meet,
i should not have loved you so, my freedom is forfeit
jo saza dije hai baja mujh ko
tujh se karni na thi wafa mujh ko
whatever punishment you mete, will be surely meet,
i should not have loved you so, my freedom is forfeit
-
Tag : Wafa
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
bahāna mil na jaa.e bijliyoñ ko TuuT paḌne kā
kaleja kāñptā hai āshiyāñ ko āshiyāñ kahte
bahana mil na jae bijliyon ko TuT paDne ka
kaleja kanpta hai aashiyan ko aashiyan kahte
bhūlne vaale ko shāyad yaad va.ada aa gayā
mujh ko dekhā muskurāyā ḳhud-ba-ḳhud sharmā gayā
bhulne wale ko shayad yaad wada aa gaya
mujh ko dekha muskuraya KHud-ba-KHud sharma gaya
phirte hue kisī kī nazar dekhte rahe
dil ḳhuun ho rahā thā magar dekhte rahe
phirte hue kisi ki nazar dekhte rahe
dil KHun ho raha tha magar dekhte rahe
kyā kyā duā.eñ māñgte haiñ sab magar 'asar'
apnī yahī duā hai koī mudda.ā na ho
kya kya duaen mangte hain sab magar 'asar'
apni yahi dua hai koi muddaa na ho
aaj kuchh mehrbān hai sayyād
kyā nasheman bhī ho gayā barbād
aaj kuchh mehrban hai sayyaad
kya nasheman bhi ho gaya barbaad
palkeñ ghanerī gopiyoñ kī Toh liye hue
rādhā ke jhāñkne kā jharoka ġhazab ġhazab
palken ghaneri gopiyon ki Toh liye hue
radha ke jhankne ka jharoka ghazab ghazab
sanā terī nahīñ mumkin zabāñ se
ma.ānī duur phirte haiñ bayāñ se
sana teri nahin mumkin zaban se
maani dur phirte hain bayan se