Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Fasih Akmal's Photo'

Fasih Akmal

1944 | Delhi, India

Sher of Fasih Akmal

1.9K
Favorite

SORT BY

umr bhar milne nahīñ detī haiñ ab to ranjisheñ

vaqt ham se ruuTh jaane adā tak le gayā

umr bhar milne nahin deti hain ab to ranjishen

waqt hum se ruTh jaane ki ada tak le gaya

jinheñ tārīḳh bhī likhte Daregī

vo hañgāme yahāñ hone lage haiñ

jinhen tariKH bhi likhte Daregi

wo hangame yahan hone lage hain

bahut bāteñ zabāñ se kahī nahīñ jātīñ

savāl kar ke use dekhnā zarūrī hai

bahut si baaten zaban se kahi nahin jatin

sawal kar ke use dekhna zaruri hai

hamārī fat.h ke andāz duniyā se nirāle haiñ

ki parcham jagah neze pe apnā sar nikaltā hai

hamari fath ke andaz duniya se nirale hain

ki parcham ki jagah neze pe apna sar nikalta hai

mudda.ā iz.hār se khultā nahīñ hai

ye zabān-e-be-zabānī aur hai

muddaa izhaar se khulta nahin hai

ye zaban-e-be-zabani aur hai

kitāboñ se na dānish farāvānī se aayā hai

salīqa zindagī dil nādānī se aayā hai

kitabon se na danish ki farawani se aaya hai

saliqa zindagi ka dil ki nadani se aaya hai

ab kisī aur tum zikr na karnā mujh se

varna ik ḳhvāb jo āñkhoñ meñ hai mar jā.egā

ab kisi aur ka tum zikr na karna mujh se

warna ek KHwab jo aankhon mein hai mar jaega

hamīñ pe ḳhatm haiñ jaur-o-sitam zamāne ke

hamāre baad use kis aarzū hogī

hamin pe KHatm hain jaur-o-sitam zamane ke

hamare baad use kis ki aarzu hogi

sitāroñ tarah alfāz zau baḌhtī jaatī hai

ġhazal meñ husn us chehre tābānī se aayā hai

sitaron ki tarah alfaz ki zau baDhti jati hai

ghazal mein husn us chehre ki tabani se aaya hai

har ek aañkh meñ aañsū har ek lab pe fuġhāñ

ye ek shor-e-qayāmat kū-ba-kū kyā hai

har ek aankh mein aansu har ek lab pe fughan

ye ek shor-e-qayamat sa ku-ba-ku kya hai

jo nahīñ hai to lagtā hai ab ki kyā hai

tamām ālam-e-vahshat ye chaar kyā hai

TRANSLATION

Now I feel what you are, when you are not here,

What is this state of frenzy, pervading everywhere.

Sagar Akbarabadi

jo tu nahin hai to lagta hai ab ki tu kya hai

tamam aalam-e-wahshat ye chaar su kya hai

TRANSLATION

Now I feel what you are, when you are not here,

What is this state of frenzy, pervading everywhere.

Sagar Akbarabadi

'umr-bhar 'ahd-e-ta'alluq ke nigah-dār rahe

apne baare meñ koī ḳhvāb na dekhā ham ne

'umr-bhar 'ahd-e-ta'alluq ke nigah-dar rahe

apne bare mein koi KHwab na dekha hum ne

Recitation

Speak Now