Sher of Ghulam Rabbani Taban
ye chaar din kī rifāqat bhī kam nahīñ ai dost
tamām umr bhalā kaun saath detā hai
ye chaar din ki rifaqat bhi kam nahin ai dost
tamam umr bhala kaun sath deta hai
shabāb-e-husn hai barq-o-sharar kī manzil hai
ye āzmā.ish-e-qalb-o-nazar kī manzil hai
shabab-e-husn hai barq-o-sharar ki manzil hai
ye aazmaish-e-qalb-o-nazar ki manzil hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
rah-e-talab meñ kise ārzū-e-manzil hai
shu.ūr ho to safar ḳhud safar kā hāsil hai
rah-e-talab mein kise aarzu-e-manzil hai
shuur ho to safar KHud safar ka hasil hai
nikhar ga.e haiñ pasīne meñ bhiig kar aariz
guloñ ne aur bhī shabnam se tāzgī paa.ī
your cheeks with perspiration are all aglow anew
these flowers are now fresher laden with the dew
nikhar gae hain pasine mein bhig kar aariz
gulon ne aur bhi shabnam se tazgi pai
your cheeks with perspiration are all aglow anew
these flowers are now fresher laden with the dew
-
Tag : Rukhsar
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
bastiyoñ meñ hone ko hādse bhī hote haiñ
pattharoñ kī zad par kuchh aa.ine bhī hote haiñ
bastiyon mein hone ko hadse bhi hote hain
pattharon ki zad par kuchh aaine bhi hote hain
chhaTe ġhubār-e-nazar bām-e-tūr aa jaa.e
piyo sharāb ki chehre pe nuur aa jaa.e
chhaTe ghubar-e-nazar baam-e-tur aa jae
piyo sharab ki chehre pe nur aa jae
-
Tag : Sharab
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yādoñ ke saa.e haiñ na umīdoñ ke haiñ charāg
har shai ne saath chhoḌ diyā hai tirī tarah
yaadon ke sae hain na umidon ke hain charag
har shai ne sath chhoD diya hai teri tarah
kisī ke haath meñ jām-e-sharāb aayā hai
ki māhtāb tah-e-āftāb aayā hai
kisi ke hath mein jam-e-sharab aaya hai
ki mahtab tah-e-aftab aaya hai
-
Tag : Sharab
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tabāhiyoñ kā to dil kī gila nahīñ lekin
kisī ġharīb kā ye āḳhirī sahārā thā
tabahiyon ka to dil ki gila nahin lekin
kisi gharib ka ye aaKHiri sahaara tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ġham-e-zindagī ik musalsal azaab
ġham-e-zindagī se mafar bhī nahīñ
gham-e-zindagi ek musalsal azab
gham-e-zindagi se mafar bhi nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
manzileñ raah meñ thiiñ naqsh-e-qadam kī sūrat
ham ne muḌ kar bhī na dekhā kisī manzil kī taraf
manzilen rah mein thin naqsh-e-qadam ki surat
hum ne muD kar bhi na dekha kisi manzil ki taraf
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ġhubār-e-rāh chalā saath ye bhī kyā kam hai
safar meñ aur koī ham-safar mile na mile
ghubar-e-rah chala sath ye bhi kya kam hai
safar mein aur koi ham-safar mile na mile
janāb-e-shaiḳh samajhte haiñ ḳhuub rindoñ ko
janāb-e-shaiḳh ko ham bhī magar samajhte haiñ
janab-e-shaiKH samajhte hain KHub rindon ko
janab-e-shaiKH ko hum bhi magar samajhte hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mere afkār kī rānā.iyāñ tere dam se
merī āvāz meñ shāmil tirī āvāz bhī hai
mere afkar ki ranaiyan tere dam se
meri aawaz mein shamil teri aawaz bhi hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ ne kab da.avā-e-ilhām kiyā hai 'tābāñ'
likh diyā kartā huuñ jo dil pe guzartī jaa.e
main ne kab dawa-e-ilham kiya hai 'taban'
likh diya karta hun jo dil pe guzarti jae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
lab-e-nigār ko zahmat na do ḳhudā ke liye
ham ahl-e-shauq zabān-e-nazar samajhte haiñ
lab-e-nigar ko zahmat na do KHuda ke liye
hum ahl-e-shauq zaban-e-nazar samajhte hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
baḌe baḌoñ ke qadam Dagmagā ga.e 'tābāñ'
rah-e-hayāt meñ aise maqām bhī aa.e
baDe baDon ke qadam Dagmaga gae 'taban'
rah-e-hayat mein aise maqam bhi aae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
āñsuoñ se koī āvāz ko nisbat na sahī
bhīgtī jaa.e to kuchh aur nikhartī jaa.e
aansuon se koi aawaz ko nisbat na sahi
bhigti jae to kuchh aur nikharti jae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye mai-kada hai kalīsā o ḳhānqāh nahīñ
urūj-e-fikr o faroġh-e-nazar kī manzil hai
ye mai-kada hai kalisa o KHanqah nahin
uruj-e-fikr o farogh-e-nazar ki manzil hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hamārī tarah ḳharāb-e-safar na ho koī
ilāhī yuuñ to kisī kā na rāhbar gum ho
hamari tarah KHarab-e-safar na ho koi
ilahi yun to kisi ka na rahbar gum ho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
junūñ meñ aur ḳhirad meñ dar-haqīqat farq itnā hai
vo zer-e-dar hai saaqī aur ye zer-e-dām hai saaqī
junun mein aur KHirad mein dar-haqiqat farq itna hai
wo zer-e-dar hai saqi aur ye zer-e-dam hai saqi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
udhar chaman meñ zar-e-gul luTā idhar 'tābāñ'
hamārī be-sar-o-sāmāniyoñ ke din aa.e
udhar chaman mein zar-e-gul luTa idhar 'taban'
hamari be-sar-o-samaniyon ke din aae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aaj kisī ne bātoñ bātoñ meñ jab un kā naam liyā
dil ne jaise Thokar khaa.ī dard ne baḌh kar thaam liyā
TRANSLATION
Today, when in someone’s talks, thy name did casually occur,
My heart missed a breath, but the pain came as succour.
Sagar Akbarabadi
aaj kisi ne baaton baaton mein jab un ka nam liya
dil ne jaise Thokar khai dard ne baDh kar tham liya
TRANSLATION
Today, when in someone’s talks, thy name did casually occur,
My heart missed a breath, but the pain came as succour.
Sagar Akbarabadi