Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Hasan Barelvi

1859 - 1908 | Bareilly, India

Desciple of Dagh Dehlavi and the younger brother of Maulana Ahmad Raza Khan.

Desciple of Dagh Dehlavi and the younger brother of Maulana Ahmad Raza Khan.

Sher of Hasan Barelvi

2.4K
Favorite

SORT BY

aap zid ne mujhe aur pilā.ī hazrat

shaiḳh-jī itnī nasīhat bhī burī hotī hai

aap ki zid ne mujhe aur pilai hazrat

shaiKH-ji itni nasihat bhi buri hoti hai

dekh aao marīz-e-furqat ko

rasm-e-duniyā bhī hai savāb bhī hai

dekh aao mariz-e-furqat ko

rasm-e-duniya bhi hai sawab bhi hai

kyā kahūñ kyā hai mere dil ḳhushī

tum chale jāoge ḳhafā ho kar

kya kahun kya hai mere dil ki KHushi

tum chale jaoge KHafa ho kar

dil ko jānāñ se 'hasan' samjhā-bujhā ke laa.e the

dil hameñ samjhā-bujhā kar sū-e-jānāñ le chalā

dil ko jaanan se 'hasan' samjha-bujha ke lae the

dil hamein samjha-bujha kar su-e-jaanan le chala

ek kah kar jis ne sunñī ho hazāroñ bāteñ

vo kahe un se mujhe aap se kuchh kahnā hai

ek kah kar jis ne sunni ho hazaron baaten

wo kahe un se mujhe aap se kuchh kahna hai

shīsha uThā kar taaq se ham ne

taaq pe rakh saaqī tauba

shisha uTha kar taq se hum ne

taq pe rakh di saqi tauba

o vasl meñ muñh chhupāne vaale

ye bhī koī vaqt hai hayā

o wasl mein munh chhupane wale

ye bhi koi waqt hai haya ka

bole vo bosa-hā-e-paiham par

are kam-baḳht kuchh hisāb bhī hai

bole wo bosa-ha-e-paiham par

are kam-baKHt kuchh hisab bhi hai

ulfat ho kisī na mohabbat ho kisī

pahlū meñ na dil ho na ye hālat ho kisī

ulfat ho kisi ki na mohabbat ho kisi ki

pahlu mein na dil ho na ye haalat ho kisi ki

choT jab dil par lage fariyād paidā kyuuñ na ho

ai sitam-ārā jo aisā ho to aisā kyuuñ na ho

choT jab dil par lage fariyaad paida kyun na ho

ai sitam-ara jo aisa ho to aisa kyun na ho

ishq meñ be-tābiyāñ hotī haiñ lekin ai 'hasan'

jis qadar bechain tum ho us qadar koī na ho

ishq mein be-tabiyan hoti hain lekin ai 'hasan'

jis qadar bechain tum ho us qadar koi na ho

gulshan-e-ḳhuld kyā baat hai kyā kahnā hai

par hameñ tere kūche meñ paḌā rahnā hai

gulshan-e-KHuld ki kya baat hai kya kahna hai

par hamein tere hi kuche mein paDa rahna hai

jo ḳhaas jalve the ushshāq nazar ke liye

vo aam kar diye tum ne jahān bhar ke liye

jo KHas jalwe the ushshaq ki nazar ke liye

wo aam kar diye tum ne jahan bhar ke liye

jaan agar ho jaan to kyūñ-kar na ho tujh par nisār

dil agar ho dil tirī sūrat pe shaidā kyuuñ na ho

jaan agar ho jaan to kyun-kar na ho tujh par nisar

dil agar ho dil teri surat pe shaida kyun na ho

hamāre ghar se jaanā muskurā kar phir ye farmānā

tumheñ merī qasam dekho mirī raftār kaisī hai

hamare ghar se jaana muskura kar phir ye farmana

tumhein meri qasam dekho meri raftar kaisi hai

abr hai gulzār hai mai hai ḳhushī daur hai

aaj to Duube hue dil ko uchhalne dījiye

abr hai gulzar hai mai hai KHushi ka daur hai

aaj to Dube hue dil ko uchhalne dijiye

aa.ī kyā meñ teġh-e-qātil ke

ki judā ho ga.ī gale mil ke

aai kya ji mein tegh-e-qatil ke

ki juda ho gai gale mil ke

pūchhte jaate haiñ ye ham sab se

majlis-e-vāz meñ sharāb bhī hai

puchhte jate hain ye hum sab se

majlis-e-waz mein sharab bhi hai

kis ke chehre se uTh gayā parda

jhilmilā.e charāġh mahfil ke

kis ke chehre se uTh gaya parda

jhilmilae charagh mahfil ke

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now