Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Khar Dehlavi's Photo'

Khar Dehlavi

1916 - 2002 | Delhi, India

One of the most prominent symbols of Urdu's composite culture at Delhi. Elder brother of Gulzar Dehlavi.

One of the most prominent symbols of Urdu's composite culture at Delhi. Elder brother of Gulzar Dehlavi.

Sher of Khar Dehlavi

mohabbat zulf aaseb jaadū hai nigāhoñ

mohabbat fitna-e-mahshar balā-e-nā-gahānī hai

mohabbat zulf ka aaseb jadu hai nigahon ka

mohabbat fitna-e-mahshar bala-e-na-gahani hai

'ḳhār' ulfat baat jaane do

zindagī kis ko sāzgār aa.ī

'KHar' ulfat ki baat jaane do

zindagi kis ko sazgar aai

chupke se sah rahā huuñ sitam tere bevafā

merī ḳhatā to jab ho ki chuuñ kar rahā huuñ maiñ

chupke se sah raha hun sitam tere bewafa

meri KHata to jab ho ki chun kar raha hun main

sach to ye hai ki duā ne na davā ne rakkhā

ham ko zinda tire dāman havā ne rakkhā

sach to ye hai ki dua ne na dawa ne rakkha

hum ko zinda tere daman ki hawa ne rakkha

maiñ ne maanā ki adū bhī tirā shaidā.ī hai

farq hotā hai fidā hone meñ mar jaane meñ

main ne mana ki adu bhi tera shaidai hai

farq hota hai fida hone mein mar jaane mein

uTThe na baiTh kar kabhī kū-e-habīb se

us dar pe kyā ga.e ki usī dar ke ho ga.e

uTThe na baiTh kar kabhi ku-e-habib se

us dar pe kya gae ki usi dar ke ho gae

barhamī husn ko kuchh aur jilā detī hai

vo jamālī terā chehra vo jalālī āñkheñ

barhami husn ko kuchh aur jila deti hai

wo jamali tera chehra wo jalali aankhen

ye nagrī husn vāloñ ajab nagrī hai ai hamdam

ki is nagrī meñ aahoñ bhī tāsīreñ badaltī haiñ

ye nagri husn walon ki ajab nagri hai ai hamdam

ki is nagri mein aahon ki bhi tasiren badalti hain

chashm-e-giryāñ ābyārī se

dil ke dāġhoñ pe phir bahār aa.ī

chashm-e-giryan ki aabyari se

dil ke daghon pe phir bahaar aai

Recitation

Speak Now