Sher of Maikash Akbarabadi
mire fusūñ ne dikhā.ī hai tere ruḳh kī sahar
mire junūñ ne banā.ī hai tere zulf kī shaam
mere fusun ne dikhai hai tere ruKH ki sahar
mere junun ne banai hai tere zulf ki sham
-
Tag : Philosophical
tirī zulfoñ ko kyā suljhā.ūñ ai dost
mirī rāhoñ meñ pech-o-ḳham bahut haiñ
teri zulfon ko kya suljhaun ai dost
meri rahon mein pech-o-KHam bahut hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aap kī merī kahānī ek hai
kahiye ab maiñ kyā sunā.ūñ kyā sunūñ
aap ki meri kahani ek hai
kahiye ab main kya sunaun kya sunun
pahuñch hī jā.egā ye haath terī zulfoñ tak
yūñhī junūñ kā agar silsila darāz rahā
pahunch hi jaega ye hath teri zulfon tak
yunhi junun ka agar silsila daraaz raha
thī junūñ-āmez apnī guftugū
baat matlab kī bhī lekin kah ga.e
thi junun-amez apni guftugu
baat matlab ki bhi lekin kah gae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye maslak apnā apnā hai ye fitrat apnī apnī hai
jalāo āshiyāñ tum ham kareñge āshiyāñ paidā
ye maslak apna apna hai ye fitrat apni apni hai
jalao aashiyan tum hum karenge aashiyan paida
nahīñ hai dil kā sukūñ qismat-e-tamannā meñ
tumheñ bhī dil kī tamannā banā ke dekh liyā
nahin hai dil ka sukun qismat-e-tamanna mein
tumhein bhi dil ki tamanna bana ke dekh liya
zabāñ pe nām-e-mohabbat bhī jurm thā ya.anī
ham un se jurm-e-mohabbat bhī baḳhshvā na sake
zaban pe nam-e-mohabbat bhi jurm tha yani
hum un se jurm-e-mohabbat bhi baKHshwa na sake
sab kuchh hai aur kuchh nahīñ ai dād-ḳhvāh-e-ishq
vo dekh kar na dekhnā nīchī nigāh se
sab kuchh hai aur kuchh nahin ai dad-KHwah-e-ishq
wo dekh kar na dekhna nichi nigah se
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
naza.a tak dil us ko dohrāyā kiyā
ik tabassum meñ vo kyā kuchh kah ga.e
naza tak dil us ko dohraya kiya
ek tabassum mein wo kya kuchh kah gae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
baiThe rahe vo ḳhūn-e-tamannā kiye hue
dekhā kiye unheñ nigah-e-iltijā se ham
baiThe rahe wo KHun-e-tamanna kiye hue
dekha kiye unhen nigah-e-iltija se hum
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kuchh is tarah tirī ulfat meñ kaaT dī maiñ ne
gunāhgār huā aur na pāk-bāz rahā
kuchh is tarah teri ulfat mein kaT di main ne
gunahgar hua aur na pak-baz raha
charāġh-e-kushta le kar ham tirī mahfil meñ kyā aate
jo din the zindagī ke vo to raste meñ guzār aa.e
charagh-e-kushta le kar hum teri mahfil mein kya aate
jo din the zindagi ke wo to raste mein guzar aae
ham ne laale kī tarah is daur meñ
aañkh kholī thī ki dekhā dil kā ḳhuuñ
hum ne lale ki tarah is daur mein
aankh kholi thi ki dekha dil ka KHun