Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mustafa Shahab's Photo'

Mustafa Shahab

England

Sher of Mustafa Shahab

3.3K
Favorite

SORT BY

zehn meñ yaad ke ghar TūTne lagte haiñ 'shahāb'

log ho jaate haiñ ke purāne kitne

zehn mein yaad ke ghar TuTne lagte hain 'shahab'

log ho jate hain ji ji ke purane kitne

aisā bhī kabhī ho maiñ jise ḳhvāb meñ dekhūñ

jāgūñ to vahī ḳhvāb ta.abīr batā.e

aisa bhi kabhi ho main jise KHwab mein dekhun

jagun to wahi KHwab ki tabir batae

go tark-e-ta.alluq meñ bhī shāmil haiñ ka.ī dukh

be-kaif ta.alluq ke bhī āzār bahut haiñ

go tark-e-talluq mein bhi shamil hain kai dukh

be-kaif talluq ke bhi aazar bahut hain

kahā thā maiñ ne kho kar bhī tujhe zinda rahūñgā

vo aisā jhuuT thā jis ko nibhānā paḌ gayā hai

kaha tha main ne kho kar bhi tujhe zinda rahunga

wo aisa jhuT tha jis ko nibhana paD gaya hai

maiñ sach se gurezāñ huuñ aur jhuuT pe nādim huuñ

vo sach pe pashemāñ hai aur jhuuT par āmāda

main sach se gurezan hun aur jhuT pe nadim hun

wo sach pe pasheman hai aur jhuT par aamada

shāyad vo bhūlī-bisrī na ho aarzū koī

kuchh aur bhī kamī hai terī kamī ke saath

shayad wo bhuli-bisri na ho aarzu koi

kuchh aur bhi kami si hai teri kami ke sath

maiñ aur merā shauq-e-safar saath haiñ magar

ye aur baat hai ki safar ho ga.e tamām

main aur mera shauq-e-safar sath hain magar

ye aur baat hai ki safar ho gae tamam

bichhḌā vo mujh se aaise na bichhḌe kabhī koī

ab yuuñ milā hai jaise vo pahle milā na ho

bichhDa wo mujh se aaise na bichhDe kabhi koi

ab yun mila hai jaise wo pahle mila na ho

hote hote maiñ pahuñch jaatā huuñ apne aap tak

is se aage aur koī rāsta jaatā nahīñ

hote hote main pahunch jata hun apne aap tak

is se aage aur koi rasta jata nahin

bikhrā bikhrā sāz-o-sāmāñ hai

ham kahīñ dil kahīñ aqīda kahīñ

bikhra bikhra sa saz-o-saman hai

hum kahin dil kahin aqida kahin

is tarah sajā rakkhe haiñ maiñ ne dar-o-dīvār

ghar meñ tirī sūrat ke sivā kuchh bhī nahīñ hai

is tarah saja rakkhe hain main ne dar-o-diwar

ghar mein teri surat ke siwa kuchh bhi nahin hai

dil sambhāle nahīñ sambhaltā hai

jaise uTh kar abhī gayā hai koī

dil sambhaale nahin sambhalta hai

jaise uTh kar abhi gaya hai koi

dar kunj-e-sadā-band kholeñge kisī roz

ham log jo ḳhāmosh haiñ boleñge kisī roz

dar kunj-e-sada-band ka kholenge kisi roz

hum log jo KHamosh hain bolenge kisi roz

apnī kashtī sar pe rakh kar chal rahe haiñ ham 'shahāb'

ye bhī mumkin hai ki agle moḌ par dariyā mile

apni kashti sar pe rakh kar chal rahe hain hum 'shahab'

ye bhi mumkin hai ki agle moD par dariya mile

maiñ bhī shāyad aap ko tanhā miloñ

apnī tanhā.ī meñ kar dekhiye

main bhi shayad aap ko tanha milon

apni tanhai mein ja kar dekhiye

isti.āre zamīn se jaa.eñ

ik ġhazal āsmān se utre

istiare zamin se jaen

ek ghazal aasman se utre

sub.h tak jaane kahāñ mujh ko uḌā kar le jaa.e

ek āñdhī jo sar-e-shām chalī hai mujh meñ

subh tak jaane kahan mujh ko uDa kar le jae

ek aandhi jo sar-e-sham chali hai mujh mein

ye āb-dīda Thahar jaa.e jhiil sūrat

ki ek chāñd TukḌā nahānā chāhtā hai

ye aab-dida Thahar jae jhil ki surat

ki ek chand ka TukDa nahana chahta hai

kār-e-zindagānī ke shor-o-shar meñ muddat se

us ko bhuul jaane ehtimāl rahtā hai

kar-e-zindagani ke shor-o-shar mein muddat se

us ko bhul jaane ka ehtimal rahta hai

haqīqat ko tamāshe se judā karne ḳhātir

uThā kar bārhā parda girānā paḌ gayā hai

haqiqat ko tamashe se juda karne ki KHatir

uTha kar barha parda girana paD gaya hai

ham meñ aur parindoñ meñ farq sirf itnā hai

dast-o-pā mile ham ko bāl-o-par parindoñ ko

hum mein aur parindon mein farq sirf itna hai

dast-o-pa mile hum ko baal-o-par parindon ko

ḳhauf ik bulandī se pastiyoñ meñ rulne

āb-jū meñ rahtā hai aur nazar nahīñ aatā

KHauf ek bulandi se pastiyon mein rulne ka

aab-ju mein rahta hai aur nazar nahin aata

Recitation

Speak Now