Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Qalaq Merathi

1832/3 - 1880

Sher of Qalaq Merathi

2.9K
Favorite

SORT BY

hai harjā.ī to apnā bhī yahī taur sahī

nahīñ aur sahī aur nahīñ aur sahī

tu hai harjai to apna bhi yahi taur sahi

tu nahin aur sahi aur nahin aur sahi

zuleḳhā be-ḳhirad āvāra lailā bad-maza shīrīñ

sabhī majbūr haiñ dil se mohabbat aa jaatī hai

zuleKHa be-KHirad aawara laila bad-maza shirin

sabhi majbur hain dil se mohabbat aa hi jati hai

tujh se ai zindagī ghabrā chale the ham to

par tashaffī hai ki ik dushman-e-jāñ rakhte haiñ

tujh se ai zindagi ghabra hi chale the hum to

par tashaffi hai ki ek dushman-e-jaan rakhte hain

ho mohabbat ḳhabar kuchh to ḳhabar phir kyuuñ ho

ye bhī ik be-ḳhabarī hai ki ḳhabar rakhte haiñ

ho mohabbat ki KHabar kuchh to KHabar phir kyun ho

ye bhi ek be-KHabari hai ki KHabar rakhte hain

muusā ke sar pe paañv hai ahl-e-nigāh

us galī meñ ḳhaak uḌī koh-e-tūr

musa ke sar pe panw hai ahl-e-nigah ka

us ki gali mein KHak uDi koh-e-tur ki

kidhar qafas thā kahāñ ham the kis taraf ye qaid

kuchh ittifāq hai sayyād āb-o-dāne

kidhar qafas tha kahan hum the kis taraf ye qaid

kuchh ittifaq hai sayyaad aab-o-dane ka

bosa dene chiiz hai āḳhir

na sahī har ghaḌī kabhī sahī

bosa dene ki chiz hai aaKHir

na sahi har ghaDi kabhi hi sahi

na ye hai na vo hai na maiñ huuñ na hai

hazāroñ tasavvur aur ik aarzū hai

na ye hai na wo hai na main hun na tu hai

hazaron tasawwur aur ek aarzu hai

kufr aur islām meñ dekhā to nāzuk farq thā

dair meñ jo paak thā ka.abe meñ vo nāpāk thā

kufr aur islam mein dekha to nazuk farq tha

dair mein jo pak tha kabe mein wo napak tha

har sañg meñ ka.abe ke nihāñ ishva-e-but hai

kyā bānī-e-islām bhī ġhārat-gar-e-dīñ thā

har sang mein kabe ke nihan ishwa-e-but hai

kya bani-e-islam bhi ghaarat-gar-e-din tha

na ho aarzū kuchh yahī aarzū hai

faqat maiñ maiñ huuñ to phir hai

na ho aarzu kuchh yahi aarzu hai

faqat main hi main hun to phir tu hi tu hai

rahm kar mastoñ pe kab tak taaq par rakkhegā

sāġhar-e-mai sāqiyā zāhid īmāñ ho gayā

rahm kar maston pe kab tak taq par rakkhega tu

saghar-e-mai saqiya zahid ka iman ho gaya

hai agar kuchh vafā to kyā kahne

kuchh nahīñ hai to dil-lagī sahī

hai agar kuchh wafa to kya kahne

kuchh nahin hai to dil-lagi hi sahi

vaa.iz ye mai-kada hai na masjid ki is jagah

zikr-e-halāl par bhī hai fatvā harām

waiz ye mai-kada hai na masjid ki is jagah

zikr-e-halal par bhi hai fatwa haram ka

pahle rakh le apne dil par haath

phir mire ḳhat ko paḌh likhā kyā hai

pahle rakh le tu apne dil par hath

phir mere KHat ko paDh likha kya hai

ḳhudā se Darte to ḳhauf-e-ḳhudā na karte ham

ki yād-e-but se haram meñ bukā na karte ham

KHuda se Darte to KHauf-e-KHuda na karte hum

ki yaad-e-but se haram mein buka na karte hum

dil ke har juzv meñ judā.ī hai

dard uThe aabla agar baiThe

dil ke har juzw mein judai hai

dard uThe aabla agar baiThe

kyūñkar na āstīñ meñ chhupā kar paḌheñ namāz

haq to hai ye aziiz haiñ but ḳhudā ke ba.ad

kyunkar na aastin mein chhupa kar paDhen namaz

haq to hai ye aziz hain but hi KHuda ke baad

na lagtī aañkh to sone meñ kyā burā.ī thī

ḳhabar kuchh aap hotī to be-ḳhabar hotā

na lagti aankh to sone mein kya burai thi

KHabar kuchh aap ki hoti to be-KHabar hota

amn aur tere ahd meñ zālim

kis tarah ḳhāk-e-rahguzar baiThe

amn aur tere ahd mein zalim

kis tarah KHak-e-rahguzar baiThe

jabīn-e-pārsā ko dekh kar īmāñ laraztā hai

ma.āz-allāh ki kyā anjām hai is pārsā.ī

jabin-e-parsa ko dekh kar iman larazta hai

maaz-allah ki kya anjam hai is parsai ka

jhagḌā thā jo dil pe us ko chhoḌā

kuchh soch ke sulh kar ga.e ham

jhagDa tha jo dil pe us ko chhoDa

kuchh soch ke sulh kar gae hum

be-takalluf maqām-e-ulfat hai

daaġh uTThe ki aabla baiThe

be-takalluf maqam-e-ulfat hai

dagh uTThe ki aabla baiThe

ḳhud ko kabhī na dekhā ā.īne ko dekhā

ham se to kyā ki ḳhud se nā-āshnā rahā hai

KHud ko kabhi na dekha aaine hi ko dekha

hum se to kya ki KHud se na-ashna raha hai

vo zikr thā tumhārā jo intihā se guzrā

ye qissa hai hamārā jo nā-tamām niklā

wo zikr tha tumhaara jo intiha se guzra

ye qissa hai hamara jo na-tamam nikla

kasrat-e-sajda se pashemāñ haiñ

ki tirā naqsh-e-pā miTā baiThe

kasrat-e-sajda se pasheman hain

ki tera naqsh-e-pa miTa baiThe

hai ye bin lage nahīñ rahtā

kuchh to ho shaġhl-e-āshiqī sahī

ji hai ye bin lage nahin rahta

kuchh to ho shaghl-e-ashiqi hi sahi

shahr un ke vāste hai jo rahte haiñ tujh se duur

ghar un phir kahāñ jo tire dil meñ ghar kareñ

shahr un ke waste hai jo rahte hain tujh se dur

ghar un ka phir kahan jo tere dil mein ghar karen

zahe qismat ki us ke qaidiyoñ meñ aa ga.e ham bhī

vale shor-e-salāsil meñ hai ik khaTkā rihā.ī

zahe qismat ki us ke qaidiyon mein aa gae hum bhi

wale shor-e-salasil mein hai ek khaTka rihai ka

mohabbat vo hai jis meñ kuchh kisī se ho nahīñ saktā

jo ho saktā hai vo bhī aadmī se ho nahīñ saktā

mohabbat wo hai jis mein kuchh kisi se ho nahin sakta

jo ho sakta hai wo bhi aadmi se ho nahin sakta

terā dīvāna to vahshat bhī had se niklā

ki bayābāñ ko bhī chāhe hai bayābāñ honā

tera diwana to wahshat ki bhi had se nikla

ki bayaban ko bhi chahe hai bayaban hona

galī se apnī irāda na kar uThāne

tirā qadam huuñ na fitna huuñ maiñ zamāne

gali se apni irada na kar uThane ka

tera qadam hun na fitna hun main zamane ka

fikr-e-sitam meñ aap bhī pāband ho ga.e

tum mujh ko chhoḌ do to maiñ tum ko rihā karūñ

fikr-e-sitam mein aap bhi paband ho gae

tum mujh ko chhoD do to main tum ko riha karun

āsmāñ ahl-e-zamīñ se kyā kudūrat-nāk thā

mudda.ī bhī ḳhaak thī aur mudda.ā bhī ḳhaak thā

aasman ahl-e-zamin se kya kudurat-nak tha

muddai bhi KHak thi aur muddaa bhi KHak tha

dekh to udhar ki jo dekhā na jaa.e phir

guftugū kare to kabhī guftugū na ho

tu dekh to udhar ki jo dekha na jae phir

tu guftugu kare to kabhi guftugu na ho

tirī naved meñ har dāstāñ ko sunte haiñ

tirī umiid meñ har rahguzar ko dekhte haiñ

teri nawed mein har dastan ko sunte hain

teri umid mein har rahguzar ko dekhte hain

andāza aadmī kahāñ gar na ho sharāb

paimāna zindagī nahīñ gar subū na ho

andaza aadmi ka kahan gar na ho sharab

paimana zindagi ka nahin gar subu na ho

us se na miliye jis se mile dil tamām umr

sūjhī hameñ bhī hijr meñ āḳhir ko duur

us se na miliye jis se mile dil tamam umr

sujhi hamein bhi hijr mein aaKHir ko dur ki

kyā ḳhāna-ḳharāboñ lage tere Thikānā

us shahr meñ rahte haiñ jahāñ ghar nahīñ hotā

kya KHana-KHarabon ka lage tere Thikana

us shahr mein rahte hain jahan ghar nahin hota

kaun jaane thā us nām-o-numūd

merī barbādī se banā hai ishq

kaun jaane tha us ka nam-o-numud

meri barbaadi se bana hai ishq

maiñ rāzdāñ huuñ ye ki jahāñ thā vahāñ na thā

bad-gumāñ hai vo ki jahāñ hai vahāñ nahīñ

main raazdan hun ye ki jahan tha wahan na tha

tu bad-guman hai wo ki jahan hai wahan nahin

vo sañg-dil añgusht-ba-dandāñ nazar aave

aisā koī sadma mirī jaañ par nahīñ hotā

wo sang-dil angusht-ba-dandan nazar aawe

aisa koi sadma meri jaan par nahin hota

ashk ke girte āñkhoñ meñ añdherā chhā gayā

kaun hasrat yārab ye charāġh-e-ḳhāna thā

ashk ke girte hi aankhon mein andhera chha gaya

kaun si hasrat ka yarab ye charagh-e-KHana tha

naala kartā huuñ log sunte haiñ

aap se merā kuchh kalām nahīñ

nala karta hun log sunte hain

aap se mera kuchh kalam nahin

jo kahtā hai vo kartā hai bar-aks us ke kaam

ham ko yaqīñ hai va.ada-e-nā-ustavār

jo kahta hai wo karta hai bar-aks us ke kaam

hum ko yaqin hai wada-e-na-ustawar ka

vaa.iz ne mai-kade ko jo dekhā to jal gayā

phailā gayā charāñd sharāb-e-tahūr

waiz ne mai-kade ko jo dekha to jal gaya

phaila gaya charand sharab-e-tahur ki

ham us kūche meñ uThne ke liye baiThe haiñ muddat se

magar kuchh kuchh sahārā hai abhī be-dast-o-pā.ī

hum us kuche mein uThne ke liye baiThe hain muddat se

magar kuchh kuchh sahaara hai abhi be-dast-o-pai ka

kis liye da.ava-e-zuleḳhā.i

ġhair yūsuf nahīñ ġhulām nahīñ

kis liye dawa-e-zuleKHai

ghair yusuf nahin ghulam nahin

but-ḳhāne ulfat hai na ka.abe mohabbat

juyā.ī-e-nairañg hai jab tak ki nazar hai

but-KHane ki ulfat hai na kabe ki mohabbat

juyai-e-nairang hai jab tak ki nazar hai

paḌā hai dair-o-ka.aba meñ ye kaisā ġhul ḳhudā jaane

ki vo parda-nashīñ bāhar na aa jaane na jaane

paDa hai dair-o-kaba mein ye kaisa ghul KHuda jaane

ki wo parda-nashin bahar na aa jaane na ja jaane

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now