Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Rafia Shabnam Abidi's Photo'

Rafia Shabnam Abidi

1943 | Mumbai, India

Sher of Rafia Shabnam Abidi

ḳhud-kushī qatl-e-anā tark-e-tamannā bairāg

zindagī tere nazar aane lage hal kitne

KHud-kushi qatl-e-ana tark-e-tamanna bairag

zindagi tere nazar aane lage hal kitne

kis salīqe se ḳhayāloñ ko zabāñ de de kar

mujh ko us shaḳhs ne bātoñ meñ lagā.e rakhā

kis saliqe se KHayalon ko zaban de de kar

mujh ko us shaKHs ne baaton mein lagae rakha

mujhe to yaad hai ab tak vo kyā zamāna thā

tire javāb mausam mire savāl ke din

mujhe to yaad hai ab tak wo kya zamana tha

tere jawab ka mausam mere sawal ke din

sab se baḌā ye jurm thā merā isī liye badnām huī

saarī duniyā jahāñ girī thī usī moḌ par sañbhlī maiñ

sab se baDa ye jurm tha mera isi liye badnam hui

sari duniya jahan giri thi usi moD par sanbhli main

mirī bāteñ hamesha tumheñ yūñhī lagtī haiñ to mat sunñā

magar kuchh ho jaa.e to na pachhtāo na ghabrāo kahā thā

meri baaten hamesha hi tumhein yunhi si lagti hain to mat sunna

magar kuchh ho hi jae to na pachhtao na ghabrao kaha tha na

koī shahnā.ī se kah do zarā ḳhāmosh rahe

shor achchhā nahīñ lagtā mujhe bārātoñ

koi shahnai se kah do zara KHamosh rahe

shor achchha nahin lagta mujhe baraaton ka

Recitation

Speak Now