Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Saeed Ahmad's Photo'

Saeed Ahmad

Sher of Saeed Ahmad

shorish-e-vaqt huī vaqt raftār meñ gum

din guzarte haiñ tire ḳhvāb ke āsār meñ gum

shorish-e-waqt hui waqt ki raftar mein gum

din guzarte hain tere KHwab ke aasar mein gum

us din se pāniyoñ tarah bah rahe haiñ ham

jis din se pattharoñ irāda samajh liyā

us din se paniyon ki tarah bah rahe hain hum

jis din se pattharon ka irada samajh liya

ḳhushk pattoñ meñ kisī yaad sho.ala hai 'sa.īd'

maiñ bujhātā huuñ magar aag bhaḌak jaatī hai

KHushk patton mein kisi yaad ka shoala hai 'said'

main bujhata hun magar aag bhaDak jati hai

kuchh log ibtidā-e-rifāqat se qabl

ā.inda ke har ek guzishta tak aa ga.e

kuchh log ibtida-e-rifaqat se qabl hi

aainda ke har ek guzishta tak aa gae

sab karishme ta.alluqāt ke haiñ

ḳhaak uḌtī hai ḳhāk-dān meñ kyā

sab karishme talluqat ke hain

KHak uDti hai KHak-dan mein kya

ham bhī usī ke saath ga.e hosh se 'sa.īd'

lamha jo qaid-e-vaqt se bāhar chalā gayā

hum bhi usi ke sath gae hosh se 'said'

lamha jo qaid-e-waqt se bahar chala gaya

jo tire ḳhitta-e-be-āb ḳhvāhish na banā

kulbulātā hai vo dariyā kisī kohsār meñ gum

jo tere KHitta-e-be-ab ki KHwahish na bana

kulbulata hai wo dariya kisi kohsar mein gum

mirā vajūd havāla tirā huā āḳhir

to khā gayā mujhe mire savāl-e-qadīm

mera wajud hawala tera hua aaKHir

to kha gaya na mujhe tu mere sawal-e-qadim

jal thal ḳhvāb thā ki kināre Dubo gayā

tanhā kañval bhī jhiil se bāhar nikal paḌā

jal thal ka KHwab tha ki kinare Dubo gaya

tanha kanwal bhi jhil se bahar nikal paDa

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now