Sher of Safi Lakhnavi
kal ham ā.īne meñ ruḳh kī jhurriyāñ dekhā kiye
kārvān-e-umr-e-rafta kā nishāñ dekhā kiye
kal hum aaine mein ruKH ki jhurriyan dekha kiye
karwan-e-umr-e-rafta ka nishan dekha kiye
deñ bhī javāb-e-ḳhat ki na deñ kyā ḳhabar mujhe
kyuuñ apne saath le na gayā nāma-bar mujhe
den bhi jawab-e-KHat ki na den kya KHabar mujhe
kyun apne sath le na gaya nama-bar mujhe
dekhe baġhair haal ye hai iztirāb kā
kyā jaane kyā ho parda jo uTThe naqāb kā
dekhe baghair haal ye hai iztirab ka
kya jaane kya ho parda jo uTThe naqab ka
ġhazal us ne chheḌī mujhe saaz denā
zarā umr-e-rafta ko āvāz denā
ghazal us ne chheDi mujhe saz dena
zara umr-e-rafta ko aawaz dena
janāza rok kar merā vo is andāz se bole
galī ham ne kahī thī tum to duniyā chhoḌe jaate ho
janaza rok kar mera wo is andaz se bole
gali hum ne kahi thi tum to duniya chhoDe jate ho
ḳhatm ho jaate jo husn o ishq ke naaz o adā
shā.erī bhī ḳhatm ho jaatī nubuvvat kī tarah
KHatm ho jate jo husn o ishq ke naz o ada
shaeri bhi KHatm ho jati nubuwwat ki tarah
paiġhām zindagī ne diyā maut kā mujhe
marne ke intizār meñ jiinā paḌā mujhe
paigham zindagi ne diya maut ka mujhe
marne ke intizar mein jina paDa mujhe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mirī na.ash ke sirhāne vo khaḌe ye kah rahe haiñ
ise niiñd yuuñ na aatī agar intizār hotā
meri nash ke sirhane wo khaDe ye kah rahe hain
ise nind yun na aati agar intizar hota
banāvaT ho to aisī ho ki jis se sādgī Tapke
ziyāda ho to aslī husn chhup jaatā hai zevar se
banawaT ho to aisi ho ki jis se sadgi Tapke
ziyaada ho to asli husn chhup jata hai zewar se