Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Saleem Shahzad

1949 | Malegaon, India

Sher of Saleem Shahzad

havā zad meñ patte tarah thā

vo ik zaḳhmī parinde tarah thā

hawa ki zad mein patte ki tarah tha

wo ek zaKHmi parinde ki tarah tha

zard patte meñ koī nuqta-e-sabz

apne hone patā kaafī hai

zard patte mein koi nuqta-e-sabz

apne hone ka pata kafi hai

bātoñ meñ hai us zahr thoḌā

thoḌā mazā sharāb jaisā

baaton mein hai us ki zahr thoDa

thoDa sa maza sharab jaisa

an-kahī kah an-sunī bāteñ sunā

rah gayā jo kuchh bhī sochā soch le

an-kahi kah an-suni baaten suna

rah gaya jo kuchh bhi socha soch le

use patā hai ki ruktī nahīñ hai chhāñv kabhī

to phir vo abr ko kyuuñ sā.ebāñ samajhtā hai

use pata hai ki rukti nahin hai chhanw kabhi

to phir wo abr ko kyun saeban samajhta hai

vahm o ḳhirad ke maare haiñ shāyad sab log

dekh rahā huuñ shīshe ke ghar chāroñ or

wahm o KHirad ke mare hain shayad sab log

dekh raha hun shishe ke ghar chaaron or

aag bhī barsī daraḳhtoñ par vahīñ

kaal bastī meñ jahāñ paanī thā

aag bhi barsi daraKHton par wahin

kal basti mein jahan pani ka tha

kab tak in āvāra maujoñ tamāshā dekhnā

gin chuke ho sā.atoñ ke taar to vāpas chalo

kab tak in aawara maujon ka tamasha dekhna

gin chuke ho saaton ke tar to wapas chalo

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now