Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Vishal Khullar's Photo'

Vishal Khullar

1980 | Ludhiana, India

Sher of Vishal Khullar

927
Favorite

SORT BY

mere dukh davā bhī rakhtā hai

ḳhud ko mujh se judā bhī rakhtā hai

mere dukh ki dawa bhi rakhta hai

KHud ko mujh se juda bhi rakhta hai

vo jism ruuh ḳhalā āsmān hai kyā hai

ki rañg koī ho us se judā nahīñ miltā

wo jism ruh KHala aasman hai kya hai

ki rang koi ho us se juda nahin milta

aag dariyā ko ishāroñ se lagāne vaalā

ab ke rūThā hai bahut mujh ko manāne vaalā

aag dariya ko ishaaron se lagane wala

ab ke ruTha hai bahut mujh ko manane wala

dil jo ab shor kartā rahtā hai

kis qadar be-zabān thā pahle

dil jo ab shor karta rahta hai

kis qadar be-zaban tha pahle

granth ik prem paḌhā mujh ko

aur kitāboñ gyaan rahne de

granth ek prem ka paDha mujh ko

aur kitabon ka gyan rahne de

use tum chāñd se tashbīh denā

ki us ke haath meñ ḳhanjar khulā thā

use tum chand se tashbih dena

ki us ke hath mein KHanjar khula tha

maiñ insāñ thā ḳhudā hone se pahle

anal-haq anā hone se pahle

main insan tha KHuda hone se pahle

anal-haq ki ana hone se pahle

usī ke sher sabhī aur usī ke afsāne

usī pyaas bādal ghaTā meñ aayā hai

usi ke sher sabhi aur usi ke afsane

usi ki pyas ka baadal ghaTa mein aaya hai

lutf-e-manzil hausloñ se aa lagā thā gaam gaam

safar meñ saath thā to rāsta achchhā lagā

lutf-e-manzil hauslon se aa laga tha gam gam

tu safar mein sath tha to rasta achchha laga

dīvār-o-dar chāhiye dīvār-o-dar mujhe

dīvāngī meñ yaad nahīñ apnā ghar mujhe

diwar-o-dar sa chahiye diwar-o-dar mujhe

diwangi mein yaad nahin apna ghar mujhe

asīr-e-zulf ko shāyad yahīñ rihā.ī hai

pukārtā huuñ jise vo sadā meñ aayā hai

asir-e-zulf ko shayad yahin rihai hai

pukarta hun jise wo sada mein aaya hai

Recitation

Speak Now