Sher of Wali Mohammad Wali
jise ishq kā tiir kaarī lage
use zindagī kyuuñ na bhārī lage
jise ishq ka tir kari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
chāhtā hai is jahāñ meñ gar bahisht
jā tamāshā dekh us ruḳhsār kā
chahta hai is jahan mein gar bahisht
ja tamasha dekh us ruKHsar ka
-
Tag : Rukhsar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yaad karnā har ghaḌī tujh yaar kā
hai vazīfa mujh dil-e-bīmār kā
yaad karna har ghaDi tujh yar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimar ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
muflisī sab bahār khotī hai
mard kā e'tibār khotī hai
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka e'tibar khoti hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil-e-ushshāq kyuuñ na ho raushan
jab ḳhayāl-e-sanam charāġh huā
dil-e-ushshaq kyun na ho raushan
jab KHayal-e-sanam charagh hua
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pī ke bairāg kī udāsī suuñ
dil pe mere sadā udāsī hai
pi ke bairag ki udasi sun
dil pe mere sada udasi hai
-
Tag : Bairaag
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
gul hue ġharq āb-e-shabnam meñ
dekh us sāhib-e-hayā kī adā
gul hue gharq aab-e-shabnam mein
dekh us sahib-e-haya ki ada
ḳhūb-rū ḳhuub kaam karte haiñ
yak nigah meñ ġhulām karte haiñ
KHub-ru KHub kaam karte hain
yak nigah mein ghulam karte hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
phir merī ḳhabar lene vo sayyād na aayā
shāyad ki mirā haal use yaad na aayā
phir meri KHabar lene wo sayyaad na aaya
shayad ki mera haal use yaad na aaya
kiyā mujh ishq ne zālim kuuñ aab āhista āhista
ki ātish gul kuuñ kartī hai gulāb āhista āhista
kiya mujh ishq ne zalim kun aab aahista aahista
ki aatish gul kun karti hai gulab aahista aahista
tujh lab kī sifat la.al-e-badaḳhshāñ suuñ kahūñgā
jaadū haiñ tire nain ġhazālāñ suuñ kahūñgā
tujh lab ki sifat lal-e-badaKHshan sun kahunga
jadu hain tere nain ghazalan sun kahunga
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dekhnā har sub.h tujh ruḳhsār kā
hai mutāla matla-e-anvār kā
dekhna har subh tujh ruKHsar ka
hai mutala matla-e-anwar ka
-
Tag : Rukhsar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aaj terī bhavāñ ne masjid meñ
hosh khoyā hai har namāzī kā
aaj teri bhawan ne masjid mein
hosh khoya hai har namazi ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shaġhl behtar hai ishq-bāzī kā
kyā haqīqī o kyā majāzī kā
shaghl behtar hai ishq-bazi ka
kya haqiqi o kya majazi ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
rāh-e-mazmūn-e-tāza band nahīñ
tā qayāmat khulā hai bāb-e-suḳhan
rah-e-mazmun-e-taza band nahin
ta qayamat khula hai bab-e-suKHan
tere lab ke huqūq haiñ mujh par
kyuuñ bhulā duuñ maiñ dil se haqq-e-namak
tere lab ke huquq hain mujh par
kyun bhula dun main dil se haqq-e-namak
ai nūr-e-jān-o-dīda tire intizār meñ
muddat huī palak suuñ palak āshnā na.iiñ
ai nur-e-jaan-o-dida tere intizar mein
muddat hui palak sun palak aashna nain
kishan kī gopiyāñ kī na.iiñ hai ye nasl
raheñ sab gopiyāñ vo naql ye asl
kishan ki gopiyan ki nain hai ye nasl
rahen sab gopiyan wo naql ye asl
har zarra us kī chashm meñ labrez-e-nūr hai
dekhā hai jis ne husn-e-tajalli bahār kā
har zarra us ki chashm mein labrez-e-nur hai
dekha hai jis ne husn-e-tajalli bahaar ka
ārzū-e-chashma-e-kausar na.iiñ
tishna-lab huuñ sharbat-e-dīdār kā
aarzu-e-chashma-e-kausar nain
tishna-lab hun sharbat-e-didar ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jāma-zeboñ ko kyuuñ tajūñ ki mujhe
gher rakhtā hai daur dāman kā
jama-zebon ko kyun tajun ki mujhe
gher rakhta hai daur daman ka
rashk suuñ tujh labāñ kī surḳhī par
jigar-e-lāla daaġh daaġh huā
rashk sun tujh laban ki surKHi par
jigar-e-lala dagh dagh hua
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aaj tujh yaad ne ai dilbar-e-shīrīñ-harakāt
aah ko dil ke upar tesha-e-farhād kiyā
aaj tujh yaad ne ai dilbar-e-shirin-harakat
aah ko dil ke upar tesha-e-farhad kiya
na ho kyuuñ shor dil kī bāñsulī meñ
malāhat kā salonā kaan pahuñchā
na ho kyun shor dil ki bansuli mein
malahat ka salona kan pahuncha
chhupā huuñ maiñ sadā-e-bāñsulī meñ
ki tā jānūñ parī-rū kī galī meñ
chhupa hun main sada-e-bansuli mein
ki ta jaanun pari-ru ki gali mein
mire dil kī tajallī kyoñ rahe poshīda majlis meñ
za'īfī suuñ huā hai parda-e-fānūs tan merā
mere dil ki tajalli kyon rahe poshida majlis mein
za'ifi sun hua hai parda-e-fanus tan mera