Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aleena Itrat's Photo'

Aleena Itrat

Noida, India

A woman poet of female tone and tenor, popular in Mushairas.

A woman poet of female tone and tenor, popular in Mushairas.

Sher of Aleena Itrat

9.1K
Favorite

SORT BY

shadīd dhuup meñ saare daraḳht suukh ga.e

bas ik duā shajar thā jo be-samar na huā

shadid dhup mein sare daraKHt sukh gae

bas ek dua ka shajar tha jo be-samar na hua

udāsī shaam tanhā.ī kasak yādoñ bechainī

mujhe sab sauñp kar sūraj utar jaatā hai paanī meñ

udasi sham tanhai kasak yaadon ki bechaini

mujhe sab saunp kar suraj utar jata hai pani mein

koī āvāz na aahaT na koī halchal hai

aisī ḳhāmoshī se guzre to guzar jā.eñge

koi aawaz na aahaT na koi halchal hai

aisi KHamoshi se guzre to guzar jaenge

koī milā nahīñ jis se hāl-e-dil kahte

milā to rah ga.e lafzoñ ke intiḳhāb meñ ham

koi mila hi nahin jis se haal-e-dil kahte

mila to rah gae lafzon ke intiKHab mein hum

apnī muTThī meñ chhupā kar kisī jugnū tarah

ham tire naam ko chupke se paḌhā karte haiñ

apni muTThi mein chhupa kar kisi jugnu ki tarah

hum tere nam ko chupke se paDha karte hain

hijr raat aur puurā chāñd

kis qadar hai ye ehtimām ġhalat

hijr ki raat aur pura chand

kis qadar hai ye ehtimam ghalat

zinda rahne ye tarkīb nikālī maiñ ne

apne hone ḳhabar sab se chhupā maiñ ne

zinda rahne ki ye tarkib nikali main ne

apne hone ki KHabar sab se chhupa li main ne

ishq meñ fikr to dīvāna banā detī hai

pyaar ko aql nahīñ dil panāhoñ meñ rakho

ishq mein fikr to diwana bana deti hai

pyar ko aql nahin dil ki panahon mein rakho

Thiik hai jaao ta.alluq na rakheñge ham bhī

tum bhī va.ada karo ab yaad nahīñ aaoge

Thik hai jao talluq na rakhenge hum bhi

tum bhi wada karo ab yaad nahin aaoge

ba.ad muddat mujhe niiñd aa.ī baḌe chain niiñd

ḳhaak jab oḌh jab ḳhaak bichhā maiñ ne

baad muddat mujhe nind aai baDe chain ki nind

KHak jab oDh li jab KHak bichha li main ne

jab bhī fursat milī hañgāma-e-duniyā se mujhe

merī tanhā.ī ko bas terā pata yaad aayā

jab bhi fursat mili hangama-e-duniya se mujhe

meri tanhai ko bas tera pata yaad aaya

abhī to chaak pe jaarī hai raqs miTTī

abhī kumhār niyyat badal bhī saktī hai

abhi to chaak pe jari hai raqs miTTi ka

abhi kumhaar ki niyyat badal bhi sakti hai

har ek sajde meñ dil ko tirā ḳhayāl aayā

ye ik gunāh ibādat meñ baar baar huā

har ek sajde mein dil ko tera KHayal aaya

ye ek gunah ibaadat mein bar bar hua

jin ke mazbūt irāde bane pahchān un

manzileñ aap ho jaatī haiñ āsān un

jin ke mazbut irade bane pahchan un ki

manzilen aap hi ho jati hain aasan un ki

tujh ko āvāz duuñ aur duur talak na mile

aise sannāToñ se aksar mujhe Dar lagtā hai

tujh ko aawaz dun aur dur talak tu na mile

aise sannaTon se aksar mujhe Dar lagta hai

ham havā se bachā rahe the jinheñ

un charāġhoñ se jal ga.e shāyad

hum hawa se bacha rahe the jinhen

un charaghon se jal gae shayad

ḳhvāhisheñ ḳhvāb dikhātī haiñ tire milne

ḳhvāb se kah de ki ta.abīr sūrat aa.e

KHwahishen KHwab dikhati hain tere milne ka

KHwab se kah de ki tabir ki surat aae

mire vajūd meñ shāmil thā vo havā tarah

so har taraf thā mire bas mirī nazar meñ na thā

mere wajud mein shamil tha wo hawa ki tarah

so har taraf tha mere bas meri nazar mein na tha

bin āvāz pukāreñ har-dam naam tirā

shāyad ham bhī pāgal hone vaale haiñ

bin aawaz pukaren har-dam nam tera

shayad hum bhi pagal hone wale hain

lo hamārā javāb le jaao

ye mahaktā gulāb le jaao

lo hamara jawab le jao

ye mahakta gulab le jao

band rahte haiñ jo alfāz kitāboñ meñ sadā

gardish-e-vaqt miTā detī hai pahchān un

band rahte hain jo alfaz kitabon mein sada

gardish-e-waqt miTa deti hai pahchan un ki

shadīd dhuup meñ saare daraḳht suukh ga.e

bas ik duā shajar thā jo be-samar na huā

shadid dhup mein sare daraKHt sukh gae

bas ek dua ka shajar tha jo be-samar na hua

dil ke gulshan meñ tire pyaar ḳhushbū kar

rañg ruḳhsār pe phūloñ se khilā karte haiñ

dil ke gulshan mein tere pyar ki KHushbu pa kar

rang ruKHsar pe phulon se khila karte hain

jaane kab kaise giraftār-e-mohabbat hue ham

jaane kab Dhal ga.e iqrār meñ inkār ke rañg

jaane kab kaise giraftar-e-mohabbat hue hum

jaane kab Dhal gae iqrar mein inkar ke rang

phir zamīñ khīñch rahī hai mujhe apnī jānib

maiñ rukūñ kaise ke parvāz abhī baaqī hai

phir zamin khinch rahi hai mujhe apni jaanib

main rukun kaise ke parwaz abhi baqi hai

terī chāhat hai ḳhvāb-e-pākīza

ik ibādat jo bā-vazū hogī

teri chahat hai KHwab-e-pakiza

ek ibaadat jo ba-wazu hogi

kisī ke vāste tasvīr-e-intizār the ham

vo aa gayā pa kahāñ ḳhatm intizār huā

kisi ke waste taswir-e-intizar the hum

wo aa gaya pa kahan KHatm intizar hua

ajab kashmakash tamām umr saath saath thī

rakhā jo ruuh bharam to jism merā mar gayā

ajab si kashmakash tamam umr sath sath thi

rakha jo ruh ka bharam to jism mera mar gaya

garmi-e-ishq khilā detī hai gāloñ pe gulāb

yaad aate haiñ jo lamhāt ga.ī rātoñ ke

garmi-e-ishq khila deti hai galon pe gulab

yaad aate hain jo lamhat gai raaton ke

mausam-e-gul par ḳhizāñ zor chal jaatā hai kyuuñ

har hasīñ manzar bahut jaldī badal jaatā hai kyuuñ

mausam-e-gul par KHizan ka zor chal jata hai kyun

har hasin manzar bahut jaldi badal jata hai kyun

gahre samundaroñ meñ utarne le ke aas

baiThe hue hai ek kināre hamāre ḳhvāb

gahre samundaron mein utarne ki le ke aas

baiThe hue hai ek kinare hamare KHwab

bandishoñ ko toḌne koshisheñ kartī huī

sar paTaktī lahr terī ājizī achchhī lagī

bandishon ko toDne ki koshishen karti hui

sar paTakti lahr teri aajizi achchhi lagi

vo ik charāġh jo jaltā hai raushnī ke liye

usī ke zer-e-tahaffuz hai tīrgī vajūd

wo ek charagh jo jalta hai raushni ke liye

usi ke zer-e-tahaffuz hai tirgi ka wajud

ab bhī aksar shab-e-tanhā.ī meñ kuchh tahrīreñ

chāñd ke aks se ho jaatī haiñ raushan raushan

ab bhi aksar shab-e-tanhai mein kuchh tahriren

chand ke aks se ho jati hain raushan raushan

ayaañ the jazba-e-dil aur bayāñ the saare ḳhayāl

koī bhī parda na thā jab ke the hijāb meñ ham

ayan the jazba-e-dil aur bayan the sare KHayal

koi bhi parda na tha jab ke the hijab mein hum

añdherī shab ye ḳhvāb-manzar mujhe ujāloñ se bhar rahā hai

to raat itnī tavīl kar de ki tā-qayāmat sahar na aa.e

andheri shab ka ye KHwab-manzar mujhe ujalon se bhar raha hai

to raat itni tawil kar de ki ta-qayamat sahar na aae

zaat meñ jis ho Thahrāv zamīñ mānind

fikr meñ us samundar vus.at hogī

zat mein jis ki ho Thahraw zamin ki manind

fikr mein us ki samundar ki si wusat hogi

jhūTā samāj rasm-o-rivāyāt sarhadeñ

ab bhī haiñ rāh-e-ishq meñ dīvār tarah

jhuTa samaj rasm-o-riwayat sarhaden

ab bhi hain rah-e-ishq mein diwar ki tarah

Dhalī jo shaam to mujh meñ simaT gayā jaise

qarār paane samundar meñ āftāb utre

Dhali jo sham to mujh mein simaT gaya jaise

qarar pane samundar mein aaftab utre

aaj parvāz ḳhayāloñ judā paa.ī

aaj phir bhūlī huī yaad kisī aa.ī

aaj parwaz KHayalon ki juda si pai

aaj phir bhuli hui yaad kisi ki aai

kūza-gar ne jab merī miTī se taḳhlīq-e-nau

ho ga.e ḳhud jazb mujh meñ aag aur paanī havā

kuza-gar ne jab meri miTi se ki taKHliq-e-nau

ho gae KHud jazb mujh mein aag aur pani hawa

aaj jab chāñdnī utrī thī mire āñgan meñ

chāñd kis lamha huā mujh se ḳhafā yaad aayā

aaj jab chandni utri thi mere aangan mein

chand kis lamha hua mujh se KHafa yaad aaya

husn-o-jamāl-o-zīst ārā.isheñ fuzūl

ishq-o-junūñ aag jo dil meñ javāñ na ho

husn-o-jamal-o-zist ki aaraishen fuzul

ishq-o-junun ki aag jo dil mein jawan na ho

kuchh kaḌe Takrāo de jaatī hai aksar raushnī

juuñ chamak uThtī hai koī barq talvāroñ ke bech

kuchh kaDe Takrao de jati hai aksar raushni

jun chamak uThti hai koi barq talwaron ke bech

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now