Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Nomaan Shauque's Photo'

Nomaan Shauque

1965 | Noida, India

Prominent post-modern poet, associated with All India Radio

Prominent post-modern poet, associated with All India Radio

Sher of Nomaan Shauque

10.2K
Favorite

SORT BY

rail dekhī hai kabhī siine pe chalne vaalī

yaad to hoñge tujhe haath hilāte hue ham

rail dekhi hai kabhi sine pe chalne wali

yaad to honge tujhe hath hilate hue hum

tum to sardī hasīñ dhuup chehra ho jise

dekhte rahte haiñ dīvār se jaate hue ham

tum to sardi ki hasin dhup ka chehra ho jise

dekhte rahte hain diwar se jate hue hum

jamhūriyat ke biich phañsī aqaliyat thā dil

mauqa jise jidhar se milā vaar kar diyā

jamhuriyat ke bich phansi aqaliyat tha dil

mauqa jise jidhar se mila war kar diya

kuchh na thā mere paas khone ko

tum mile ho to Dar gayā huuñ maiñ

kuchh na tha mere pas khone ko

tum mile ho to Dar gaya hun main

ek din donoñ ne apnī haar maanī ek saath

ek din jis se jhagaḌte the usī ke ho ga.e

ek din donon ne apni haar mani ek sath

ek din jis se jhagaDte the usi ke ho gae

zarā ye haath mere haath meñ do

maiñ apnī dostī se thak chukā huuñ

zara ye hath mere hath mein do

main apni dosti se thak chuka hun

aa.ine sāmnā achchhā nahīñ hai baar baar

ek din apnī āñkhoñ meñ khaTak saktā huuñ maiñ

aaine ka samna achchha nahin hai bar bar

ek din apni hi aankhon mein khaTak sakta hun main

merī ḳhushiyoñ se vo rishta hai tumhārā ab tak

iid ho jaa.e agar īd-mubārak kah do

meri KHushiyon se wo rishta hai tumhaara ab tak

id ho jae agar id-mubarak kah do

ishq kyā hai ḳhūbsūrat koī afvāh bas

vo bhī mere aur tumhāre darmiyāñ uḌtī huī

ishq kya hai KHubsurat si koi afwah bas

wo bhi mere aur tumhaare darmiyan uDti hui

ishq meñ sachchā thā vo merī tarah

bevafā to āzmāne se huā

ishq mein sachcha tha wo meri tarah

bewafa to aazmane se hua

ro ro ke log kahte the jaatī rahegī aañkh

aisā nahīñ huaa, mirī bīnā.ī baḌh ga.ī

ro ro ke log kahte the jati rahegi aankh

aisa nahin hua, meri binai baDh gai

baḌe gharoñ meñ rahī hai bahut zamāne tak

ḳhushī nahīñ lagtā ġharīb-ḳhāne meñ

baDe gharon mein rahi hai bahut zamane tak

KHushi ka ji nahin lagta gharib-KHane mein

kabhī libās kabhī baal dekhne vaale

tujhe pata nahīñ ham sañvar chuke dil se

kabhi libas kabhi baal dekhne wale

tujhe pata hi nahin hum sanwar chuke dil se

duur jitnā bhī chalā jaa.e magar

chāñd tujh to nahīñ ho saktā

dur jitna bhi chala jae magar

chand tujh sa to nahin ho sakta

is baar intizām to sardī ho gayā

kyā haal peḌ kaTte bastī ho gayā

is bar intizam to sardi ka ho gaya

kya haal peD kaTte hi basti ka ho gaya

bas tire aane ik afvāh aisā asar

kaise kaise log the bīmār achchhe ho ga.e

bas tere aane ki ek afwah ka aisa asar

kaise kaise log the bimar achchhe ho gae

ham jaisoñ ne jaan gañvā.ī pāgal the

duniyā jaisī kal thī bilkul vaisī hai

hum jaison ne jaan ganwai pagal the

duniya jaisi kal thi bilkul waisi hai

ham bhī māchis tīliyoñ se the

jo huā sirf ek baar huā

hum bhi machis ki tiliyon se the

jo hua sirf ek bar hua

apnī aahaT pe chauñktā huuñ maiñ

kis duniyā meñ aa gayā huuñ maiñ

apni aahaT pe chaunkta hun main

kis ki duniya mein aa gaya hun main

vo tanz ko bhī husn-e-talab jaan ḳhush hue

ulTā paḌhā gayā, mirā paiġhām aur thā

wo tanz ko bhi husn-e-talab jaan KHush hue

ulTa paDha gaya, mera paigham aur tha

phir is mazāq ko jamhūriyat naam diyā

hameñ Darāne lage vo hamārī tāqat se

phir is mazaq ko jamhuriyat ka nam diya

hamein Darane lage wo hamari taqat se

vo mere lams se mahtāb ban chukā hotā

magar milā bhī to jugnū pakaḌne vāloñ ko

wo mere lams se mahtab ban chuka hota

magar mila bhi to jugnu pakaDne walon ko

faqīr log rahe apne apne haal meñ mast

nahīñ to shahr naqsha badal chukā hotā

faqir log rahe apne apne haal mein mast

nahin to shahr ka naqsha badal chuka hota

chakh liyā us ne pyaar thoḌā

aur phir zahr kar diyā hai mujhe

chakh liya us ne pyar thoDa sa

aur phir zahr kar diya hai mujhe

hameñ burā nahīñ lagtā safed kāġhaz bhī

ye titliyāñ to tumhāre liye banāte haiñ

hamein bura nahin lagta safed kaghaz bhi

ye titliyan to tumhaare liye banate hain

pahante ḳhaak haiñ ḳhaak oḌhte bichhāte haiñ

hamārī raa.e bhī jaa.e ḳhush-libāsī par

pahante KHak hain KHak oDhte bichhate hain

hamari rae bhi li jae KHush-libasi par

naam le le tumhārā koī

donoñ hāthoñ se lutā.ūñ ḳhud ko

nam hi le le tumhaara koi

donon hathon se lutaun KHud ko

mujh ko bhī pahle-pahal achchhe lage the ye gulāb

Tahniyāñ jhuktī huiiñ aur titliyāñ uḌtī huiiñ

mujh ko bhi pahle-pahal achchhe lage the ye gulab

Tahniyan jhukti huin aur titliyan uDti huin

aisī ek shab meñ kisī se milā thā dil

bārish ke saath saath barastī hai raushnī

aisi hi ek shab mein kisi se mila tha dil

barish ke sath sath barasti hai raushni

ḳhudā muaaf kare saare munsifoñ ke gunāh

ham ne shart lagā.ī thī haar jaane

KHuda muaf kare sare munsifon ke gunah

hum hi ne shart lagai thi haar jaane ki

vo saañp jis ne mujhe aaj tak Dasā bhī nahīñ

tamām zahr suḳhan meñ mire usī hai

wo sanp jis ne mujhe aaj tak Dasa bhi nahin

tamam zahr suKHan mein mere usi ka hai

us milnā koī mazāq hai kyā

bas ḳhayāloñ meñ uThā huuñ maiñ

us ka milna koi mazaq hai kya

bas KHayalon mein ji uTha hun main

mohabbat vaale haiñ kitne zamīñ par

akelā chāñd be-nūr hai kyā

mohabbat wale hain kitne zamin par

akela chand hi be-nur hai kya

khil rahe haiñ mujh meñ duniyā ke sabhī nāyāb phuul

itnī sarkash ḳhaak ko kis abr ne nam kar diyā

khil rahe hain mujh mein duniya ke sabhi nayab phul

itni sarkash KHak ko kis abr ne nam kar diya

tire baġhair koī aur ishq ho kaise

ki mushrikoñ ke liye bhī ḳhudā zarūrī hai

tere baghair koi aur ishq ho kaise

ki mushrikon ke liye bhi KHuda zaruri hai

sunā hai shor se hal hoñge saare mas.ale ik din

so ham āvāz ko āvāz se Takrāte rahte haiñ

suna hai shor se hal honge sare masale ek din

so hum aawaz ko aawaz se Takraate rahte hain

jaane kis ummīd pe chhoḌ aa.e the ghar-bār log

nafratoñ shaam yaad aa.e purāne yaar log

jaane kis ummid pe chhoD aae the ghar-bar log

nafraton ki sham yaad aae purane yar log

qā.ede bāzār ke is baar ulTe ho ga.e

aap to aa.e nahīñ par phuul mahñge ho ga.e

TRANSLATION

The market conventionswere this time unclear,

You did not come, still the flowers became dear.

Sagar Akbarabadi

qaede bazar ke is bar ulTe ho gae

aap to aae nahin par phul mahnge ho gae

TRANSLATION

The market conventionswere this time unclear,

You did not come, still the flowers became dear.

Sagar Akbarabadi

ham ko Darā kar, aap ko ḳhairāt baañT kar

ik shaḳhs rātoñ-rāt jahāñgīr ho gayā

hum ko Dara kar, aap ko KHairaat banT kar

ek shaKHs raaton-raat jahangir ho gaya

Dar Dar ke jāgte hue kaaTī tamām raat

galiyoñ meñ tere naam itnī sadā lagī

Dar Dar ke jagte hue kaTi tamam raat

galiyon mein tere nam ki itni sada lagi

ham bahut pachhtā.e āvāzoñ se rishta joḌ kar

shor ik lamhe thā aur zindagī bhar sukūt

hum bahut pachhtae aawazon se rishta joD kar

shor ek lamhe ka tha aur zindagi bhar ka sukut

phuul vo rakhtā gayā aur maiñ ne rokā tak nahīñ

Duub bhī saktī hai merī naav sochā tak nahīñ

phul wo rakhta gaya aur main ne roka tak nahin

Dub bhi sakti hai meri naw socha tak nahin

vo to kahiye aap ḳhushbū ne pahchānā mujhe

itr kah ke jaane kyā kyā bechte attār log

wo to kahiye aap ki KHushbu ne pahchana mujhe

itr kah ke jaane kya kya bechte attar log

mirā kuchh rāste meñ kho gayā hai

achānak chalte chalte ruk gayā huuñ

mera kuchh raste mein kho gaya hai

achanak chalte chalte ruk gaya hun

badan ne kitnī baḌhā hai saltanat apnī

base haiñ ishq o havas sab isī ilāqe meñ

badan ne kitni baDha li hai saltanat apni

base hain ishq o hawas sab isi ilaqe mein

aap sāda-dilī se tañg aa jaatā huuñ maiñ

mere dil meñ rah chuke haiñ is qadar hushyār log

aap ki sada-dili se tang aa jata hun main

mere dil mein rah chuke hain is qadar hushyar log

us ne hañs kar haath chhuḌāyā hai apnā

aaj judā ho jaane meñ āsānī hai

us ne hans kar hath chhuDaya hai apna

aaj juda ho jaane mein aasani hai

naam se us ke pukārūñ ḳhud ko

aaj hairān kar duuñ ḳhud ko

nam se us ke pukarun KHud ko

aaj hairan hi kar dun KHud ko

lipTā bhī ek baar to kis ehtiyāt se

aaise ki saarā jism mo.attar na ho sake

lipTa bhi ek bar to kis ehtiyat se

aaise ki sara jism moattar na ho sake

ek karvaT pe raat kyā kaTtī

ham ne ījād na.ī duniyā

ek karwaT pe raat kya kaTti

hum ne ijad ki nai duniya

Recitation

Speak Now