Sher on Republic Day
Poetry has always acted as a strong tool for describing the emotions of patriotism. Poetry covers all the pure emotions and various dimensions of patriotism. Read these poems and find the patriot within yourself.
sarfaroshī kī tamannā ab hamāre dil meñ hai
dekhnā hai zor kitnā bāzu-e-qātil meñ hai
sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai
dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil mein hai
-
Tags: Deshbhaktiand 4 more
saare jahāñ se achchhā hindostāñ hamārā
ham bulbuleñ haiñ is kī ye gulsitāñ hamārā
sare jahan se achchha hindostan hamara
hum bulbulen hain is ki ye gulsitan hamara
-
Tags: Deshbhaktiand 4 more
dil se niklegī na mar kar bhī vatan kī ulfat
merī miTTī se bhī ḳhushbū-e-vafā aa.egī
dil se niklegi na mar kar bhi watan ki ulfat
meri miTTi se bhi KHushbu-e-wafa aaegi
-
Tags: Deshbhaktiand 1 more
lahū vatan ke shahīdoñ kā rañg laayā hai
uchhal rahā hai zamāne meñ nām-e-āzādī
lahu watan ke shahidon ka rang laya hai
uchhal raha hai zamane mein nam-e-azadi
-
Tags: Deshbhaktiand 2 more
vatan ke jāñ-nisār haiñ vatan ke kaam ā.eñge
ham is zamīñ ko ek roz āsmāñ banā.eñge
watan ke jaan-nisar hain watan ke kaam aaenge
hum is zamin ko ek roz aasman banaenge
maz.hab nahīñ sikhātā aapas meñ bair rakhnā
hindī haiñ ham vatan hai hindostāñ hamārā
mazhab nahin sikhata aapas mein bair rakhna
hindi hain hum watan hai hindostan hamara
-
Tags: Parliamentand 1 more
vatan kī ḳhaak se mar kar bhī ham ko uns baaqī hai
mazā dāmān-e-mādar kā hai is miTTī ke dāman meñ
watan ki KHak se mar kar bhi hum ko uns baqi hai
maza daman-e-madar ka hai is miTTi ke daman mein
-
Tags: Deshbhaktiand 1 more
vatan kī ret zarā eḌiyāñ ragaḌne de
mujhe yaqīñ hai ki paanī yahīñ se niklegā
watan ki ret zara eDiyan ragaDne de
mujhe yaqin hai ki pani yahin se niklega
-
Tags: Deshbhaktiand 1 more
vatan kī pāsbānī jān-o-īmāñ se bhī afzal hai
maiñ apne mulk kī ḳhātir kafan bhī saath rakhtā huuñ
watan ki pasbani jaan-o-iman se bhi afzal hai
main apne mulk ki KHatir kafan bhi sath rakhta hun
vatan kī sar-zamīñ se ishq-o-ulfat ham bhī rakhte haiñ
khaTaktī jo rahe dil meñ vo hasrat ham bhī rakhte haiñ
watan ki sar-zamin se ishq-o-ulfat hum bhi rakhte hain
khaTakti jo rahe dil mein wo hasrat hum bhi rakhte hain
hai mohabbat is vatan se apnī miTTī se hameñ
is liye apnā kareñge jān-o-tan qurbān ham
hai mohabbat is watan se apni miTTi se hamein
is liye apna karenge jaan-o-tan qurban hum
na pūchho ham-safaro mujh se mājrā-e-vatan
vatan hai mujh pe fidā aur maiñ fidā-e-vatan
na puchho ham-safaro mujh se majra-e-watan
watan hai mujh pe fida aur main fida-e-watan
surūr-e-jāñ-fazā detī hai āġhosh-e-vatan sab ko
ki jaise bhī hoñ bachche maañ ko pyāre ek jaise haiñ
surur-e-jaan-faza deti hai aaghosh-e-watan sab ko
ki jaise bhi hon bachche man ko pyare ek jaise hain