Sher of Aasi Ghazipuri
ḳhudā se tirā chāhnā chāhtā huuñ
merā chāhnā dekh kyā chāhtā huuñ
KHuda se tera chahna chahta hun
mera chahna dekh kya chahta hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ai junūñ phir mire sar par vahī shāmat aa.ī
phir phañsā zulfoñ meñ dil phir vahī aafat aa.ī
ai junun phir mere sar par wahi shamat aai
phir phansa zulfon mein dil phir wahi aafat aai
ishq kahtā hai do-ālam se judā ho jaao
husn kahtā hai jidhar jaao nayā aalam hai
ishq kahta hai do-alam se juda ho jao
husn kahta hai jidhar jao naya aalam hai
bīmār-e-ġham kī chāragarī kuchh zarūr hai
vo dard dil meñ de ki masīhā kaheñ jise
bimar-e-gham ki chaaragari kuchh zarur hai
wo dard dil mein de ki masiha kahen jise
vo yahāñ tak jo aa nahīñ sakte
kyā mujhe bhī bulā nahīñ sakte
TRANSLATION
If she can cannot come here,
Can’t she even call me there?
Sagar Akbarabadi
wo yahan tak jo aa nahin sakte
kya mujhe bhi bula nahin sakte
TRANSLATION
If she can cannot come here,
Can’t she even call me there?
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
lab-e-nāzuk ke bose luuñ to missī muñh banātī hai
kaf-e-pā ko agar chūmūñ to mehñdī rañg laatī hai
lab-e-nazuk ke bose lun to missi munh banati hai
kaf-e-pa ko agar chumun to mehndi rang lati hai
dard-e-dil kitnā pasand aayā use
maiñ ne jab kī aah us ne vaah kī
dard-e-dil kitna pasand aaya use
main ne jab ki aah us ne wah ki
vo ḳhat vo chehra vo zulf-e-siyāh to dekho
ki shaam sub.h ke baad aa.e sub.h shaam ke baad
wo KHat wo chehra wo zulf-e-siyah to dekho
ki sham subh ke baad aae subh sham ke baad
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo kahte haiñ maiñ zindagānī huuñ terī
ye sach hai to un kā bharosā nahīñ hai
wo kahte hain main zindagani hun teri
ye sach hai to un ka bharosa nahin hai
-
Tag : Bharosa
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil diyā jis ne kisī ko vo huā sāhib-e-dil
haath aa jaatī hai kho dene se daulat dil kī
dil diya jis ne kisi ko wo hua sahib-e-dil
hath aa jati hai kho dene se daulat dil ki
sub.h tak vo bhī na chhoḌī tū ne ai bād-e-sabā
yādgār-e-raunaq-e-mahfil thī parvāne kī ḳhaak
subh tak wo bhi na chhoDi tu ne ai baad-e-saba
yaadgar-e-raunaq-e-mahfil thi parwane ki KHak
milne vaale se raah paidā kar
us se milne kī aur sūrat kyā
milne wale se rah paida kar
us se milne ki aur surat kya
merī āñkheñ aur dīdār aap kā
yā qayāmat aa ga.ī yā ḳhvāb hai
meri aankhen aur didar aap ka
ya qayamat aa gai ya KHwab hai
kis ko dekhā un kī sūrat dekh kar
jī meñ aatā hai ki sajda kījiye
kis ko dekha un ki surat dekh kar
ji mein aata hai ki sajda kijiye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tabī.at kī mushkil-pasandī to dekho
hasīnoñ se tark-e-vafā chāhtā huuñ
tabiat ki mushkil-pasandi to dekho
hasinon se tark-e-wafa chahta hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo phir va.ada milne kā karte haiñ yaanī
abhī kuchh dinoñ ham ko jiinā paḌegā
wo phir wada milne ka karte hain yani
abhi kuchh dinon hum ko jina paDega