Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Abbas Tabish's Photo'

Abbas Tabish

1961 | Lahore, Pakistan

Contemporary Pakistani poet having a popular appeal.

Contemporary Pakistani poet having a popular appeal.

TOP 20 SHAYARI of Abbas Tabish

ek mohabbat aur vo bhī nākām mohabbat

lekin is se kaam chalāyā saktā hai

ek mohabbat aur wo bhi nakaam mohabbat

lekin is se kaam chalaya ja sakta hai

jhoñke ke saath chhat ga.ī dastak ke saath dar gayā

taaza havā ke shauq meñ merā to saarā ghar gayā

jhonke ke sath chhat gai dastak ke sath dar gaya

taza hawa ke shauq mein mera to sara ghar gaya

mohabbat ek dam dukh mudāvā kar nahīñ detī

ye titlī baiThtī hai zaḳhm par āhista āhista

mohabbat ek dam dukh ka mudawa kar nahin deti

ye titli baiThti hai zaKHm par aahista aahista

maiñ use dekh ke lauTā huuñ to kyā dekhtā huuñ

shahr shahr mujhe dekhne aayā huā hai

main use dekh ke lauTa hun to kya dekhta hun

shahr ka shahr mujhe dekhne aaya hua hai

mere siine se zarā kaan lagā kar dekho

saañs chaltī hai ki zanjīr-zanī hotī hai

mere sine se zara kan laga kar dekho

sans chalti hai ki zanjir-zani hoti hai

tum maañg rahe ho mire dil se mirī ḳhvāhish

bachcha to kabhī apne khilaune nahīñ detā

tum mang rahe ho mere dil se meri KHwahish

bachcha to kabhi apne khilaune nahin deta

masrūf haiñ kuchh itne ki ham kār-e-mohabbat

āġhāz to kar lete haiñ jaarī nahīñ rakhte

masruf hain kuchh itne ki hum kar-e-mohabbat

aaghaz to kar lete hain jari nahin rakhte

boltā huuñ to mire hoñT jhulas jaate haiñ

us ko ye baat batāne meñ baḌī der lagī

bolta hun to mere honT jhulas jate hain

us ko ye baat batane mein baDi der lagi

vaqt lafzoñ se banā.ī huī chādar jaisā

oḌh letā huuñ to sab ḳhvāb hunar lagtā hai

waqt lafzon se banai hui chadar jaisa

oDh leta hun to sab KHwab hunar lagta hai

'tābish' jo guzartī nahīñ shaam had se

socheñ to vahīñ raat sahar-ḳhez bahut hai

'tabish' jo guzarti hi nahin sham ki had se

sochen to wahin raat sahar-KHez bahut hai

na ḳhvāb se jagāyā na intizār kiyā

ham is daf.a bhī chale aa.e chuum kar us ko

na KHwab hi se jagaya na intizar kiya

hum is dafa bhi chale aae chum kar us ko

pas-e-ġhubār bhī uḌtā ġhubār apnā thā

tire bahāne hameñ intizār apnā thā

pas-e-ghubar bhi uDta ghubar apna tha

tere bahane hamein intizar apna tha

maiñ jis sukūn se baiThā huuñ is kināre par

sukūñ se lagtā hai merā qayām āḳhirī hai

main jis sukun se baiTha hun is kinare par

sukun se lagta hai mera qayam aaKHiri hai

agar yūñhī mujhe rakkhā gayā akele meñ

barāmad aur koī is makān se hogā

agar yunhi mujhe rakkha gaya akele mein

baramad aur koi is makan se hoga

ek muddat se mirī maañ nahīñ soī 'tābish'

maiñ ne ik baar kahā thā mujhe Dar lagtā hai

ek muddat se meri man nahin soi 'tabish'

main ne ek bar kaha tha mujhe Dar lagta hai

ye zindagī kuchh bhī ho magar apne liye to

kuchh bhī nahīñ bachchoñ sharārat ke alāva

ye zindagi kuchh bhi ho magar apne liye to

kuchh bhi nahin bachchon ki shararat ke alawa

un āñkhoñ meñ kūdne vaalo tum ko itnā dhyān rahe

vo jhīleñ pāyāb haiñ lekin un tah pathrīlī hai

un aankhon mein kudne walo tum ko itna dhyan rahe

wo jhilen payab hain lekin un ki tah pathrili hai

ye to ab ishq meñ lagne lagā hai kuchh kuchh

is taraf pahle-pahal gher ke laayā gayā maiñ

ye to ab ishq mein ji lagne laga hai kuchh kuchh

is taraf pahle-pahal gher ke laya gaya main

ye mohabbat kahānī nahīñ martī lekin

log kirdār nibhāte hue mar jaate haiñ

ye mohabbat ki kahani nahin marti lekin

log kirdar nibhate hue mar jate hain

jis se pūchheñ tire baare meñ yahī kahtā hai

ḳhūbsūrat hai vafādār nahīñ ho saktā

jis se puchhen tere bare mein yahi kahta hai

KHubsurat hai wafadar nahin ho sakta

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now